अपनी बस्तियों को
नंगी होने से
शहर की आबो-हवा से बचाएँ उसे
बचाएँ डूबने से
पूरी की पूरी बस्ती को
हड़िया में
अपने चेहरे पर
संथाल परगना की माटी का रंग
भाषा में झारखंडीपन
ठंडी होती दिनचर्या में
जीवन की गर्माहट
मन का हरापन
भोलापन दिल का
अक्खड़पन, जुझारूपन भी
भीतर की आग
धनुष की डोरी
तीर का नुकीलापन
कुल्हाड़ी की धार
जंगल की ताज़ा हवा
नदियों की निर्मलता
पहाड़ों का मौन
गीतों की धुन
मिट्टी का सोंधापन
फ़सलों की लहलहाहट
नाचने के लिए खुला आँगन
गाने के लिए गीत
हँसने के लिए थोड़ी-सी खिलखिलाहट
रोने के लिए मुट्ठीभर एकांत
बच्चों के लिए मैदान
पशुओं के लिए हरि-हरि घास
बूढों के लिए पहाड़ों की शांति
और इस अविश्वास-भरे दौर में
थोड़ा-सा विश्वास
थोड़ी-सी उम्मीद
थोड़े-से सपने
आओ, मिलकर बचाएँ
कि इस दौर में भी बचाने को
बहुत कुछ बचा है,
अब भी हमारे पास!
apni bastiyon ko
nangi hone se
shahr ki aabo hawa se bachayen use
bachayen Dubne se
puri ki puri basti ko
haDiya mein
apne chehre par
santhal paragna ki mati ka rang
bhashamen jharkhanDipan
thanDi hoti dincharya mein
jiwan ki garmahat
man ka harapan
bholapan dil ka
akkhaDpan, jujharupan bhi
bhitar ki aag
dhanush ki Dori
teer ka nukilapan
kulhaDi ki dhaar
jangal ki taza hawa
nadiyon ki nirmalta
pahaDon ka maun
giton ki dhun
mitti ka sondhapan
phaslon ki lahlahahat
nachne ke liye khula angan
gane ke liye geet
hansne ke liye thoDi si khilkhilahat
rone ke liye mutthibhar ekant
bachchon ke liye maidan
pashuon ke liye hari hari ghas
buDhon ke liye pahaDon ki shanti
aur is awishwas bhare daur mein
thoDa sa wishwas
thoDi si ummid
thoDe se sapne
ao, milkar bachayen
ki is daur mein bhi bachane ko
bahut kuch bacha hai,
ab bhi hamare pas!
apni bastiyon ko
nangi hone se
shahr ki aabo hawa se bachayen use
bachayen Dubne se
puri ki puri basti ko
haDiya mein
apne chehre par
santhal paragna ki mati ka rang
bhashamen jharkhanDipan
thanDi hoti dincharya mein
jiwan ki garmahat
man ka harapan
bholapan dil ka
akkhaDpan, jujharupan bhi
bhitar ki aag
dhanush ki Dori
teer ka nukilapan
kulhaDi ki dhaar
jangal ki taza hawa
nadiyon ki nirmalta
pahaDon ka maun
giton ki dhun
mitti ka sondhapan
phaslon ki lahlahahat
nachne ke liye khula angan
gane ke liye geet
hansne ke liye thoDi si khilkhilahat
rone ke liye mutthibhar ekant
bachchon ke liye maidan
pashuon ke liye hari hari ghas
buDhon ke liye pahaDon ki shanti
aur is awishwas bhare daur mein
thoDa sa wishwas
thoDi si ummid
thoDe se sapne
ao, milkar bachayen
ki is daur mein bhi bachane ko
bahut kuch bacha hai,
ab bhi hamare pas!
Videos This video is playing from YouTube
निर्मला पुतुल
स्रोत :
पुस्तक : आरोह (भाग-1) (पृष्ठ 147)
रचनाकार : निर्मला पुतुल
प्रकाशन : एन.सी. ई.आर.टी
संस्करण : 2022
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.