हमारे चारों ओर फैल रहा है हल्का अँधेरा
तोतों के झुंड छोड़कर जा रहे हैं शहर
उनका रंग घुल रहा है इस अँधेरे में
यह वह जगह है, जहाँ कविताओं की आख़िरी
पंक्तियाँ भी ख़त्म होती हैं
यह संधिकाल है शब्दों और घुप्प अँधेरी ख़ामोशी के बीच
इस जगह कविताओं की आख़िरी पंक्तियाँ भी
ख़त्म हो जाती हैं
अपने बसेरों से बाहर आकर कबूतर मँडराते हैं ऊपर-ऊपर
एक चौराहा, मेहराबें, असंख्य दिशाओं को जाती
सड़कें, खिड़कियाँ, सबके बीच फैली प्राचीन गंधवाली हवा
सब कुछ धीरे-धीरे घुलता है एक अदृश्य द्रव में
दृश्य के बाहर के पेड़ों कीसूखी पत्तियाँ उड-उड़कर
यहाँ जमा होती जा रही हैं।
एक और दृश्य प्रकट होता है धीमे-धीमे
पुराने अख़बार, टूटा फ़र्नीचर, विस्मृति
पीतल के हरे पड़ते बर्तन, एक आईना
चमकता एक अकेली आँख-सा, सीढ़ियाँ, उन पर
पड़े पुराने अख़बारों पर झरती हैं सूखी पत्तियाँ
एक निरर्थक बस स्टॉप पर अंतहीन प्रतीक्षा
करता है एक आदमी
मैं भूल जाना चाहता हूँ सब कुछ जो छूट गया है
जैसे एक पल बिजली की कड़कड़ाहट में स्मृतियाँ
स्तब्ध हो जाती हैं गौरैया के बच्चों की तरह
मैं जीना चाहता हूँ इस क्षण में लगातार
मैं यह आख़िरी सीढ़ी शब्दों की उतर जाना चाहता हूँ।
घुलती जा रही हैं पत्थर की सीढ़ियाँ
मेहराबें और खिड़कियाँ, एक
कबूतर अब तक बैठा है एक अँधेरे कोने में
हवा में फैली हैं वे घातक भूलें जो हमने नहीं कीं,
हमसे संभव नहीं है जिनका प्रायश्चित्त भी
लेकिन क्यों जाना है हमें शब्दों के पार
भाषा ही थी जिसकी दूब-सी उँगलियों से
छू-छूकर हमने जानी थी दुनिया
हम जो अंधे थे किसी भी कवि की तरह
हम जो गूँगे थे किसी गायक की तरह
दूर तक फैली बस्तियाँ देखते हैं अपनी बूढ़ी आँखों से
पछताते हैं पुरखे तरस खाते हैं हमारी बदक़िस्मती पर
भाषा में याद रहती हैं वे चीज़ें जिनका कोई
प्रायश्चित्त नहीं
मैं भूलना चाहता हूँ ख़ास तौर पर वे चीज़ें
जो नहीं हुईं
देखा नहीं जाता हमसे पछताना पुरखों का जिनकी
वजह से लौटना सबसे कठिन क्रिया
बन गई है हमारी भाषा के
अकालग्रस्त क्षेत्र में
एक आदमी अपने ही प्रतिबिंब का इकतारा लेकर
गाता हुआ खड़ा है
यह संधिकाल है
भूलने और लौटने के बीच एक तनी हुई
रेखा पर घूम रही है पृथ्वी
दंभ या लापरवाही से जिसका पैर
डगमगाएगा
वह गिरता चला जाएगा अतल गहराई में।
hamare charon or phail raha hai halka andhera
toton ke jhunD chhoDkar ja rahe hain shahr
unka rang ghul raha hai is andhere mein
ye wo jagah hai, jahan kawitaon ki akhiri
panktiyan bhi khatm hoti hain
ye sandhikal hai shabdon aur ghupp andheri khamoshi ke beech
is jagah kawitaon ki akhiri panktiyan bhi
khatm ho jati hain
apne baseron se bahar aakar kabutar manDrate hain upar upar
ek chauraha, mehraben, asankhya dishaon ko jati
saDken, khiDkiyan, sabke beech phaili prachin gandhwali hawa
sab kuch dhire dhire ghulta hai ek adrshy draw mein
drishya ke bahar ke peDon kisukhi pattiyan uD uDkar
yahan jama hoti ja rahi hain
ek aur drishya prakat hota hai dhime dhime
purane akhbar, tuta furniture, wismriti
pital ke hare paDte bartan, ek aina
chamakta ek akeli ankh sa, siDhiyan, un par
paDe purane akhbaron par jharti hain sukhi pattiyan
ek nirarthak bus staup par anthin pratiksha
karta hai ek adami
main bhool jana chahta hoon sab kuch jo chhoot gaya hai
jaise ek pal bijli ki kaDkaDahat mein smritiyan
stabdh ho jati hain gauraiya ke bachchon ki tarah
main jina chahta hoon is kshan mein lagatar
main ye akhiri siDhi shabdon ki utar jana chahta hoon
ghulti ja rahi hain patthar ki siDhiyan
mehraben aur khiDkiyan, ek
kabutar ab tak baitha hai ek andhere kone mein
hawa mein phaili hain we ghatak bhulen jo hamne nahin keen,
hamse sambhaw nahin hai jinka prayashchitt bhi
lekin kyon jana hai hamein shabdon ke par
bhasha hi thi jiski doob si ungliyon se
chhu chhukar hamne jani thi duniya
hum jo andhe the kisi bhi kawi ki tarah
hum jo gunge the kisi gayak ki tarah
door tak phaili bastiyan dekhte hain apni buDhi ankhon se
pachhtate hain purkhe taras khate hain hamari badaqimati par
bhasha mein yaad rahti hain we chizen jinka koi
prayashchitt nahin
main bhulna chahta hoon khas taur par we chizen
jo nahin huin
dekha nahin jata hamse pachhtana purkhon ka jinki
wajah se lautna sabse kathin kriya
ban gai hai hamari bhasha ke
akalagrast kshaetr mein
ek adami apne hi pratibimb ka iktara lekar
gata hua khaDa hai
ye sandhikal hai
bhulne aur lautne ke beech ek tani hui
rekha par ghoom rahi hai prithwi
dambh ya laparwahi se jiska pair
Dagamgayega
wo girta chala jayega atal gahrai mein

स्रोत :
पुस्तक : दो बारिशों के बीच (पृष्ठ 12)
रचनाकार : राजेंद्र धोड़पकर
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.