क्या करे समुद्र
क्या करे इतने सारे नमक का
कितनी नदियाँ आईं और कहाँ खो गईं
क्या पता
कितनी भाप बनाकर उड़ा दीं
इसका भी कोई हिसाब उसके पास नहीं
फिर भी संसार की सारी नदियाँ
धरती का सारा नमक लिए
उसी की तरफ़ दौड़ी चली आ रही हैं
तो क्या करे
कैसे पुकारे
मीठे पानी में रहने वाली मछलियों के
प्यासों को क्या मुँह दिखाए
कहाँ जाकर डूब मरे
ख़ुद अपने आप पर बरस रहा है समुद्र
समुद्र पर हो रही है बारिश
नमक किसे नहीं चाहिए
लेकिन सबकी ज़रूरत का नमक वह
अकेला ही क्यों ढोए
क्या गुरुत्त्वाकर्षण के विरुद्ध
उसके उछाल की सज़ा है यह
या धरती से तीन गुना होने की प्रतिक्रिया
कोई नहीं जानता
उसकी प्राचीन स्मृतियों में नमक है या नहीं
नमक नहीं है उसके स्वप्न में
मुझे पता है
मैं बचपन से उसकी एक चम्मच चीनी की
इच्छा के बारे में सोचता हूँ
पछाड़ें खा रहा है
मेरे तीन चौथाई शरीर में समुद्र
अभी-अभी बादल
अभी-अभी बर्फ़
अभी-अभी बर्फ़
अभी-अभी बादल।
kya kare samudr
kya kare itne sare namak ka
kitni nadiyan ain aur kahan kho gain
kya pata
kitni bhap banakar uDa deen
iska bhi koi hisab uske pas nahin
phir bhi sansar ki sari nadiyan
dharti ka sara namak liye
usi ki taraf dauDi chali aa rahi hain
to kya kare
kaise pukare
mithe pani mein rahne wali machhaliyon ke
pyason ko kya munh dikhaye
kahan jakar Doob mare
khu apne aap par baras raha hai samudr
samudr par ho rahi hai barish
namak kise nahin chahiye
lekin sabki zarurat ka namak wo
akela hi kyon Dhoe
kya guruttwakarshan ke wiruddh
uske uchhaal ki saza hai ye
ya dharti se teen guna hone ki pratikriya
koi nahin janta
uski prachin smritiyon mein namak hai ya nahin
namak nahin hai uske swapn mein
mujhe pata hai
main bachpan se uski ek chammach chini ki
ichha ke bare mein sochta hoon
pachhaDen kha raha hai
mere teen chauthai sharir mein samudr
abhi abhi badal
abhi abhi barf
abhi abhi barf
abhi abhi badal
kya kare samudr
kya kare itne sare namak ka
kitni nadiyan ain aur kahan kho gain
kya pata
kitni bhap banakar uDa deen
iska bhi koi hisab uske pas nahin
phir bhi sansar ki sari nadiyan
dharti ka sara namak liye
usi ki taraf dauDi chali aa rahi hain
to kya kare
kaise pukare
mithe pani mein rahne wali machhaliyon ke
pyason ko kya munh dikhaye
kahan jakar Doob mare
khu apne aap par baras raha hai samudr
samudr par ho rahi hai barish
namak kise nahin chahiye
lekin sabki zarurat ka namak wo
akela hi kyon Dhoe
kya guruttwakarshan ke wiruddh
uske uchhaal ki saza hai ye
ya dharti se teen guna hone ki pratikriya
koi nahin janta
uski prachin smritiyon mein namak hai ya nahin
namak nahin hai uske swapn mein
mujhe pata hai
main bachpan se uski ek chammach chini ki
ichha ke bare mein sochta hoon
pachhaDen kha raha hai
mere teen chauthai sharir mein samudr
abhi abhi badal
abhi abhi barf
abhi abhi barf
abhi abhi badal
स्रोत :
पुस्तक : समुद्र पर हो रही है बारिश (पृष्ठ 32)
रचनाकार : नरेश सक्सेना
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.