कोई दो रेल तो प्रतिदिन चलती ही होगी
उस शहर से इस शहर
गंगा की अवीरल धारा को कभी तो
स्पर्श किया होगा न तुमने
घूमते-घूमते किसी क्षण
क्या नहीं पहुँच जाती होगी यह पृथ्वी वहीं
जहाँ बैठे थे हम-तुम पहली बार
मुमकिन है, धूल का कोई कण तुमसे टकराकर
घुल गया हो मेरे पसीने में
यह कोरी कल्पना नहीं
दो प्रेमी हृदय का एक सच है
प्रेम के सर्वग्राही होने के बावजूद
एक शब्द
असंभावना
फिट नहीं बैठता उसकी परिभाषा में
सो
एक नोट पर तुम्हारा नाम लिखकर
ख़रीद आई हूँ उससे
दो कलम
संभव है, नोट न पहुँचे तुम तक
मैं पहुँचूँगी—सियाह बन!
koi do rel to pratidin chalti hi hogi
us shahr se is shahr
ganga ki aviral dhara ko kabhi to
sparsh kiya hoga na tumne
ghumte ghumte kisi kshan
kya nahin pahunch jati hogi ye prithvi vahin
jahan baithe the hum tum pahli baar
mumkin hai, dhool ka koi kan tumse takrakar
ghul gaya ho mere pasine men
ye kori kalpana nahin
do premi hriday ka ek sach hai
prem ke sarvagrahi hone ke bavjud
ek shabd
asambhavna
phit nahin baithta uski paribhasha men
so
ek not par tumhara naam likhkar
kharid aai hoon usse
do kalam
sambhav hai, not na pahunche tum tak
main pahunchungi—siyah ban!
koi do rel to pratidin chalti hi hogi
us shahr se is shahr
ganga ki aviral dhara ko kabhi to
sparsh kiya hoga na tumne
ghumte ghumte kisi kshan
kya nahin pahunch jati hogi ye prithvi vahin
jahan baithe the hum tum pahli baar
mumkin hai, dhool ka koi kan tumse takrakar
ghul gaya ho mere pasine men
ye kori kalpana nahin
do premi hriday ka ek sach hai
prem ke sarvagrahi hone ke bavjud
ek shabd
asambhavna
phit nahin baithta uski paribhasha men
so
ek not par tumhara naam likhkar
kharid aai hoon usse
do kalam
sambhav hai, not na pahunche tum tak
main pahunchungi—siyah ban!
स्रोत :
रचनाकार : अपूर्वा श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.