जब अँधेरा हुआ
और अँधेरे में जगह
तब तुमने गिरने के बारे में सोचा
यह तो भिड़ने के बारे में सोचना नहीं था
न हवा में गंध थी
और न पानी का रंग बाक़ी
न वहाँ धूल थी
और न भटके हुए लोगों की आस्था
बारिश दीवार बनाती थी
तो आदमी छतरी बनाता था
जो सड़क नहीं बना पाते थे
वे जूते बनाने की जुगत में
जान गँवाते थे
नहीं भर पातीं तो न भरे
घाटियाँ फूल से
हाथ पर हाथ से बेगाना हो?
बदले की भावना रही जब तक
तब तक कुछ भी नहीं बदला
फिर आदमी पानी में पाँव धरे
या गर्दन पर हाथ
काग़ज़ पर भूल हो
चाहे अक्षर पर धूल
हिय में हूक हो
और ताखे पर ताज
यह आदमी न भी रहा आज
तो सलामत रहेगा उसका साज़
jab andhera hua
aur andhere mein jagah
tab tumne girne ke bare mein socha
ye to bhiDne ke bare mein sochna nahin tha
na hava mein gandh thi
aur na pani ka rang baqi
na vahan dhool thi
aur na bhatke hue logon ki astha
barish divar banati thi
to adami chhatri banata tha
jo saDak nahin bana pate the
ve jute banane ki jugat men
jaan ganvate the
nahin bhar patin to na bhare
ghatiyan phool se
haath par haath se begana ho?
badle ki bhavna rahi jab tak
tab tak kuch bhi nahin badla
phir adami pani mein paanv dhare
ya gardan par haath
kaghaz par bhool ho
chahe akshar par dhool
hiy mein hook ho
aur takhe par taaj
ye adami na bhi raha aaj
to salamat rahega uska saaz
jab andhera hua
aur andhere mein jagah
tab tumne girne ke bare mein socha
ye to bhiDne ke bare mein sochna nahin tha
na hava mein gandh thi
aur na pani ka rang baqi
na vahan dhool thi
aur na bhatke hue logon ki astha
barish divar banati thi
to adami chhatri banata tha
jo saDak nahin bana pate the
ve jute banane ki jugat men
jaan ganvate the
nahin bhar patin to na bhare
ghatiyan phool se
haath par haath se begana ho?
badle ki bhavna rahi jab tak
tab tak kuch bhi nahin badla
phir adami pani mein paanv dhare
ya gardan par haath
kaghaz par bhool ho
chahe akshar par dhool
hiy mein hook ho
aur takhe par taaj
ye adami na bhi raha aaj
to salamat rahega uska saaz
स्रोत :
रचनाकार : सत्यम तिवारी
प्रकाशन : सदानीरा
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.