कोठरी के हैं सात द्वार
और चक्रव्यूह के सात जाल
बींधकर चली आओ
सात जन्म तक वरण कर लूँगा तुम्हारा
मन्वंतरों की उम्र पाकर
खोलती रही मैं द्वार
तोड़ती रही जाल
एक-दो-तीन
बार-बार।
दिगंत तक फैले आँचल का एक छोर
खूँटे से बाँध आई हूँ
नहीं था विश्वास कजरी गाय की तरह
लौट आऊँगी साँझ ढले
जानी-चीन्हीं पगडंडियों पर
खुरों के निशान पर चलते हुए।
बुढ़ा गई हूँ द्वार टटोलते
द्वारों पर लगी अर्गला खोलते
पथरा गई है देह चक्रव्यूह के व्यूह बेधते
एक-दो-तीन
मेरे ज्ञानकोष में अटे हैं बस ये तीन शब्द
नहीं जानती, कितने होते हैं सात
कितनी दूर तक चलते हैं सात क़दम
सात वचन
सात जन्म।
जानती हूँ इतना कि द्वार खोलो
तो कमरा जगर मगर आलोक से चहचहाने लगता है
पलंग के नीचे छिपी घुरघुराती बिल्लियाँ
आँखें तरेर भाग खड़ी होती हैं
हवा के संग बह आती हैं बतकहियाँ बाहर की
कोठरी में पूरनमासी के सागर का ज्वार उमड़ता आता है
यह किस देस भेज दिया है कंत तुमने
कि द्वार खुलते ही भीमकाय अँधेरा
घनघना कर लाल बनैली आँख के साथ
नोच लेता है मेरा मर्मस्थल
और पसर जाता है चहुँओर
मेरी आकाश गंगा का जल-उजास निगलकर।
सदियों के अनथक सफ़र के बावजूद
कहीं मैं दूजे द्वार पर ही
अवरुद्ध तो नहीं कर दी गई हूँ?
कोठरियों के सात द्वार
पाताल में खुलते हैं
या तोड़ी गई पहली व्यूह रचना ही
तिलिस्म बनकर करने लगी है माया-सृष्टि?
और माया द्वारों को खोलती मैं
बन गई हूँ गति में विजड़ित शै कोई?
संशय नहीं, समर्पण! सवाल नहीं, संधान!!
प्रिय चेताते हैं
सिर्फ़ सात द्वार!
सात जाल!
फिर सात जन्म हम-तुम
साथ-साथ।
प्रिय की ललकार में हाँका है
चेतन हो अर्ध नि:संज्ञ-सी मैं
हर द्वार खोलने के बाद
भरने लगी हूँ आँचल में कंकरियाँ
कि रखूँ याद
कितने तीन मिलकर बनते हैं सात।
kothari ke hain saat dvaar
aur chakravyuh ke saat jaal
beendh kar chali aao
saat janm tak varan kar lunga tumhara
manvantron ki umr pakar
kholti rahi main dvaar
toDti rahi jaal
ek do teen
baar baar.
digant tak phaile anchal ka ek chhor
khunte se baandh aai hoon
nahin tha vishvas kajri gaay ki tarah
laut auungi saanjh Dhale
jani chinhin pagDanDiyon par
khuron ke nishan par chalte hue.
buDha gai hoon dvaar tatolte
dvaron par lagi argala kholte
pathra gai hai deh chakravyuh ke vyooh bedhte
ek do teen
mere gyankosh mein ate hain bas ye teen shabd
nahin janti, kitne hote hain saat
kitni door tak chalte hain saat qadam
saat vachan
saat janm.
janti hoon itna ki dvaar kholo
to kamra jagar magar aalok se chahchahane lagta hai
palang ke niche chhipi ghuraghurati billiyan
ankhen tarer bhaag khaDi hoti hain
hava ke sang bah aati hain batakahiyan bahar ki
kothari mein puranmasi ke sagar ka jvaar umaDta aata hai
ye kis des bhej diya hai kant tumne
ki dvaar khulte hi bhimakay andhera
ghanaghna kar laal banaili ankh ke saath
noch leta hai mera marmasthal
aur pasar jata hai chahunor
meri akashganga ka jal ujaas nigal kar.
sadiyon ke anthak safar ke bavjud
kahin main duje dvaar par hi
avruddh to nahin kar di gai hoon?
kothariyon ke saat dvaar
patal mein khulte hain
ya toDi gai pahli vyooh rachna hi
tilism bankar karne lagi hai maya srishti?
aur maya dvaron ko kholti main
ban gai hoon gati mein vijDit shai koi?
sanshay nahin, samarpan! saval nahin, sandhan!!
priy chetate hain
sirf saat dvaar!
saat jaal!
phir saat janm hum tum
saath saath.
priy ki lalkar mein hanka hai
chetan ho ardh nihsangya si main
har dvaar kholne ke baad
bharne lagi hoon anchal mein kankariyan
ki rakhun yaad
kitne teen milkar bante hain saat.
kothari ke hain saat dvaar
aur chakravyuh ke saat jaal
beendh kar chali aao
saat janm tak varan kar lunga tumhara
manvantron ki umr pakar
kholti rahi main dvaar
toDti rahi jaal
ek do teen
baar baar.
digant tak phaile anchal ka ek chhor
khunte se baandh aai hoon
nahin tha vishvas kajri gaay ki tarah
laut auungi saanjh Dhale
jani chinhin pagDanDiyon par
khuron ke nishan par chalte hue.
buDha gai hoon dvaar tatolte
dvaron par lagi argala kholte
pathra gai hai deh chakravyuh ke vyooh bedhte
ek do teen
mere gyankosh mein ate hain bas ye teen shabd
nahin janti, kitne hote hain saat
kitni door tak chalte hain saat qadam
saat vachan
saat janm.
janti hoon itna ki dvaar kholo
to kamra jagar magar aalok se chahchahane lagta hai
palang ke niche chhipi ghuraghurati billiyan
ankhen tarer bhaag khaDi hoti hain
hava ke sang bah aati hain batakahiyan bahar ki
kothari mein puranmasi ke sagar ka jvaar umaDta aata hai
ye kis des bhej diya hai kant tumne
ki dvaar khulte hi bhimakay andhera
ghanaghna kar laal banaili ankh ke saath
noch leta hai mera marmasthal
aur pasar jata hai chahunor
meri akashganga ka jal ujaas nigal kar.
sadiyon ke anthak safar ke bavjud
kahin main duje dvaar par hi
avruddh to nahin kar di gai hoon?
kothariyon ke saat dvaar
patal mein khulte hain
ya toDi gai pahli vyooh rachna hi
tilism bankar karne lagi hai maya srishti?
aur maya dvaron ko kholti main
ban gai hoon gati mein vijDit shai koi?
sanshay nahin, samarpan! saval nahin, sandhan!!
priy chetate hain
sirf saat dvaar!
saat jaal!
phir saat janm hum tum
saath saath.
priy ki lalkar mein hanka hai
chetan ho ardh nihsangya si main
har dvaar kholne ke baad
bharne lagi hoon anchal mein kankariyan
ki rakhun yaad
kitne teen milkar bante hain saat.
स्रोत :
रचनाकार : रोहिणी अग्रवाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.