एक रात को नील गगन में स्वर्गदूत उड़ता जाता था
और साथ ही मदस्वर में एक गीत गाता जाता था।
चाँद, सितारे, बादल—सब आर्श्चयचकित हो
सुनते थे जो गीत स्वर्ग का वह गाता था।
वह गाता था उनकी गाथा भाग्यवान जो दिव्य वेश में
प्रभु के मधुवन में रहते हैं, जिनसे रहता पाप अंजाना,
वह गाता था प्रभु की महिमा मुक्त कंठ से
क्योंकि भीति-विद्वेष-मुक्त था उसका गाना।
लिए हुए था अपनी गोदी में वह छोटा जीव कि जिसका
जन्म जल्द होने वाला था इस कलंक से भरी धरा पर,
स्वर्गदूत का गीत याद हो गया जीव को,
गीत, कि जिसमें शब्द नहीं थे और न अक्षर।
जीवन की भारी घड़ियों में गीत स्वर्ग का दुहराने को,
सुन पाने को, एक विचित्र व्यथा उठती थी उसके मन में,
किंतु गीत वह याद नहीं उसको आता था
इस धरती के दुख-शोक-सकुल क्रंदन में।
ek raat ko neel gagan mein svargdut uDta jata tha
mor saath hi madasvar mein ek geet gata jata tha.
chaand, sitare, badal—sab arshchay chakit ho
sunte the jo geet svarg ka wo gata tha.
wo gata tha unki gatha bhagyavan jo divy vesh mein
prabhu ke madhuvan mein rahte hain, jinse rahta paap anjana,
wo gata tha prabhu ki mahima mukt kanth se
kyonki bhiti vidvesh mukt tha uska gana.
liye hue ya apni godi mein wo chhota jeev ki jiska
janm jald hone vala tha is kalank se bhari dhara par,
svargdut ka geet yaad ho gaya jeev ko,
geet, ki jismen shabd nahin the aur na akshar.
jivan ki bhari ghaDiyon mein geet svarg ka duhrane ko,
sun pane ko, ek vichitr vyatha uthti thi uske man mein,
kintu geet wo yaad nahin usko bhata tha
is dharti ke dukh shok sakul krandan mein.

स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 92)
रचनाकार : मिखाइल लेरमेंतोव
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.