मेरी पब्लिक ने मुझको हुक्म है दिया,
कि चाँद तारों को मैं नोंचकर फेंक दूँ,
या कि जिनके घरों में अगिन ही नहीं,
रोटियाँ उनकी सूरज पर मैं सेंक दूँ।
बात मेरी गर होती तो क्या बात थी,
बात पब्लिक की है फिर मैं क्या करूँ,
मेरी हिम्मत नहीं है मेरे दोस्तों,
कि अपनी पब्लिक का कोई हुकुम मेट दूँ।
खोद कर गाड़ दूँगा मैं भगवान को,
रबियों-नबियों का मैं सिर काट दूँगा,
ये बहारों के दिन हैं बहक लेने दो,
अपने हक़ के लिए हमको लड़ लेने दो।
भाड़ में जाए, ले तेरी दुनिया ख़ुदा,
एक दुनिया नई हमको गढ़ लेने दो।
जहाँ आदमी-आदमी की तरह,
रह सके, कह सके, सुन सके, सह सके,
मौत जाए बहक तो बहक जाने दो,
ज़िंदगी ताकि आगे बहक न सके।
meri public ne mujhko hukm hai diya,
ki chand taron ko main nonchkar phenk doon,
ya ki jinke gharon mein agin hi nahin,
rotiyan unki suraj par main senk doon
baat meri gar hoti to kya baat thi,
baat public ki hai phir main kya karun,
meri himmat nahin hai mere doston,
ki apni public ka koi hukum met doon
khod kar gaD dunga main bhagwan ko,
rabiyon nabiyon ka main sir kat dunga,
ye baharon ke din hain bahak lene do,
apne haq ke liye hamko laD lene do
bhaD mein jaye, le teri duniya khuda,
ek duniya nai hamko gaDh lene do
jahan adami adami ki tarah,
rah sake, kah sake, sun sake, sah sake,
maut jaye bahak to bahak jane do,
zindagi taki aage bahak na sake
meri public ne mujhko hukm hai diya,
ki chand taron ko main nonchkar phenk doon,
ya ki jinke gharon mein agin hi nahin,
rotiyan unki suraj par main senk doon
baat meri gar hoti to kya baat thi,
baat public ki hai phir main kya karun,
meri himmat nahin hai mere doston,
ki apni public ka koi hukum met doon
khod kar gaD dunga main bhagwan ko,
rabiyon nabiyon ka main sir kat dunga,
ye baharon ke din hain bahak lene do,
apne haq ke liye hamko laD lene do
bhaD mein jaye, le teri duniya khuda,
ek duniya nai hamko gaDh lene do
jahan adami adami ki tarah,
rah sake, kah sake, sun sake, sah sake,
maut jaye bahak to bahak jane do,
zindagi taki aage bahak na sake
स्रोत :
पुस्तक : नई खेती (पृष्ठ 80)
रचनाकार : रमाशंकर यादव विद्रोही
प्रकाशन : सांस, जसम
संस्करण : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.