तुम मिसरी की डली बन जाओ
मैं दूध बन जाता हूँ
तुम मुझमें
घुल जाओ।
तुम ढाइ साल की बच्ची बन जाओ
मैं मिसरी धुला दूध हूँ मीठा
मुझे एक साँस पी जाओ।
अब मैं मैदान हूँ
तुम्हारे सामने दूर तक फैला हुआ।
मुझमें दौड़ो। मैं पहाड़ हूँ।
मेरे कंधों पर चढ़ो और फिसलो।
मैं सेमल का पेड़ हूँ
मुझे ज़ोर-ज़ोर से झकझोरो और
मेरी रूई को हवा की तमाम परतों में
बादलों के छोटे-छोटे टुकड़ों की तरह
उड़ जाने दो।
ऐसा करता हूँ कि मैं
अख़रोट बन जाता हूँ
तुम उसे चुरा लो
और किसी कोने में छुपकर
तोड़ो।
गेहूँ का दाना बन जाता हूँ मैं,
तुम धूप बन जाओ
मिट्टी-हवा-पानी बनकर
मुझे उगाओ
मेरे भीतर के रिक्त कोषों में
लुका-छिपी खेलो या कोंपल होकर
मेरी किसी भी गाँठ से
कहीं से भी
तुरत फूट जाओ।
तुम अँधेरा बन जाओ
मैं बिल्ली बनकर दबे पाँव
चलूँगा चोरी-चोरी।
क्यों न ऐसा करें
कि मैं चीनी मिट्टी का प्याला बन जाता हूँ
और तुम तश्तरी
और हम कहीं से
गिरकर एक साथ
टूट जाते हैं सुबह-सुबह।
या मैं ग़ुब्बारा बनता हूँ
नीले रंग का
तुम उसके भीतर की हवा बनकर
फैलो और
बीच अकाश में
मेरे साथ फूट जाओ।
या फिर...
ऐसा करते हैं
कि हम कुछ और बन जाते हैं
मसलन...।
tum misri ki Dali ban jao
main doodh ban jata hoon
tum mujhmen
ghul jao
tum Dhai sal ki bachchi ban jao
main misri dhula doodh hoon mitha
mujhe ek sans pi jao
ab main maidan hoon
tumhare samne door tak phaila hua
mujhmen dauDo main pahaD hoon
mere kandhon par chaDho aur phislo
main semal ka peD hoon
mujhe zor zor se jhakjhoro aur
meri rui ko hawa ki tamam parton mein
badlon ke chhote chhote tukDon ki tarah
uD jane do
aisa karta hoon ki main
akhrot ban jata hoon
tum use chura lo
aur kisi kone mein chhupkar
toDo
gehun ka dana ban jata hoon main,
tum dhoop ban jao
mitti hawa pani bankar
mujhe ugao
mere bhitar ke rikt koshon mein
luka chhipi khelo ya kompal hokar
meri kisi bhi ganth se
kahin se bhi
turat phoot jao
tum andhera ban jao
main billi bankar dabe panw
chalunga chori chori
kyon na aisa karen
ki main chini mitti ka pyala ban jata hoon
aur tum tashtari
aur hum kahin se
girkar ek sath
toot jate hain subah subah
ya main ghubbara banta hoon
nile rang ka
tum uske bhitar ki hawa bankar
phailo aur
beech akash mein
mere sath phoot jao
ya phir
aisa karte hain
ki hum kuch aur ban jate hain
masalan
tum misri ki Dali ban jao
main doodh ban jata hoon
tum mujhmen
ghul jao
tum Dhai sal ki bachchi ban jao
main misri dhula doodh hoon mitha
mujhe ek sans pi jao
ab main maidan hoon
tumhare samne door tak phaila hua
mujhmen dauDo main pahaD hoon
mere kandhon par chaDho aur phislo
main semal ka peD hoon
mujhe zor zor se jhakjhoro aur
meri rui ko hawa ki tamam parton mein
badlon ke chhote chhote tukDon ki tarah
uD jane do
aisa karta hoon ki main
akhrot ban jata hoon
tum use chura lo
aur kisi kone mein chhupkar
toDo
gehun ka dana ban jata hoon main,
tum dhoop ban jao
mitti hawa pani bankar
mujhe ugao
mere bhitar ke rikt koshon mein
luka chhipi khelo ya kompal hokar
meri kisi bhi ganth se
kahin se bhi
turat phoot jao
tum andhera ban jao
main billi bankar dabe panw
chalunga chori chori
kyon na aisa karen
ki main chini mitti ka pyala ban jata hoon
aur tum tashtari
aur hum kahin se
girkar ek sath
toot jate hain subah subah
ya main ghubbara banta hoon
nile rang ka
tum uske bhitar ki hawa bankar
phailo aur
beech akash mein
mere sath phoot jao
ya phir
aisa karte hain
ki hum kuch aur ban jate hain
masalan
स्रोत :
पुस्तक : अबूतर-कबूतर (पृष्ठ 11)
रचनाकार : उदय प्रकाश
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.