इस बुरे समय में देर अबेर आती है नींद
नींद के साथ ही शुरू होता है सपना
सपने में पृथ्वी आती है नाचती नहीं
कोयल आती है कूकती नहीं
गोरैया आती है चुग्गा नहीं चुगती
बादल आते हैं बरसते नहीं
फूलों से नहीं बतियाती है तितलियाँ
हवा से दूर भागती है गंध
नवजात को लोरियाँ नहीं सुनाती है माँ
परियों के महादेश नहीं घुमाती है दादी
सपने में अब पुस्तक मेले नहीं लगते हैं
बेर की फलियाँ नहीं पकती हैं
सप्तर्षि तारे नहीं उगते हैं
दूर-दूर तक दरख़्त ही नहीं दिखते
तो घोंसलों का क्या बात!
सपने में ग़ुर्राता है शैतान
जो नग्न मूर्तियों को
अक्षत और ऋचाओं से
जगाने की चेष्टा करता है
मूर्तियाँ सुगबुगाती हैं
फिर मूर्च्छित हो जाती हैं
सपने में एक साँढ़ आता है
जो मेरी सब्ज़ियों की बाड़ी चर जाता है
एक बिल्ली आती है
जो मुँडेर पर सहमे
सारे कबूतरों को खा जाती है
एक पिशाच आता है
जे मेरे छप्पर पर
खोपड़ियाँ और अस्थियाँ बरसाता है
यह कैसा सपना है
जिसमें कभी मुर्ग़े नहीं देते बाँग
गंगनहौनी नहीं गाती है बटगीत
रात चलती है
चाँद की लाश कंधे पर उठाए।
is bure samay mein der aber aati hai neend
neend ke saath hi shuru hota hai sapna
sapne mein prithvi aati hai nachti nahin
koel aati hai kukti nahin
goraiya aati hai chugga nahin chugti
badal aate hain baraste nahin
phulon se nahin batiyati hai titliyan
hava se door bhagti hai gandh
navjat ko loriyan nahin sunati hai maan
pariyon ke mahadesh nahin ghumati hai dadi
sapne mein ab pustak mele nahin lagte hain
ber ki phaliyan nahin pakti hain
saptarshai tare nahin ugte hain
door door tak darakht hi nahin dikhte
to ghonslon ka kya baat!
sapne mein gurrata hai shaitan
jo nagn murtiyon ko
akshat aur richaon se
jagane ki cheshta karta hai
murtiyan sugabugati hain
phir murchchhit ho jati hain
sapne mein ek saanDh aata hai
jo meri sabjiyon ki baDi char jata hai
ek billi aati hai
jo munDer par sahme
sare kabutaron ko kha jati hai
ek pishach aata hai
je mere chhappar par
khopDiyan aur asthiyan barsata hai
ye kaisa sapna hai
jismen kabhi murge nahin dete baang
ganganhauni nahin gati hai batgit
raat chalti hai
chaand kah laash kandhe par uthaye.
is bure samay mein der aber aati hai neend
neend ke saath hi shuru hota hai sapna
sapne mein prithvi aati hai nachti nahin
koel aati hai kukti nahin
goraiya aati hai chugga nahin chugti
badal aate hain baraste nahin
phulon se nahin batiyati hai titliyan
hava se door bhagti hai gandh
navjat ko loriyan nahin sunati hai maan
pariyon ke mahadesh nahin ghumati hai dadi
sapne mein ab pustak mele nahin lagte hain
ber ki phaliyan nahin pakti hain
saptarshai tare nahin ugte hain
door door tak darakht hi nahin dikhte
to ghonslon ka kya baat!
sapne mein gurrata hai shaitan
jo nagn murtiyon ko
akshat aur richaon se
jagane ki cheshta karta hai
murtiyan sugabugati hain
phir murchchhit ho jati hain
sapne mein ek saanDh aata hai
jo meri sabjiyon ki baDi char jata hai
ek billi aati hai
jo munDer par sahme
sare kabutaron ko kha jati hai
ek pishach aata hai
je mere chhappar par
khopDiyan aur asthiyan barsata hai
ye kaisa sapna hai
jismen kabhi murge nahin dete baang
ganganhauni nahin gati hai batgit
raat chalti hai
chaand kah laash kandhe par uthaye.
स्रोत :
पुस्तक : बुरे समय में नींद (पृष्ठ 36)
रचनाकार : रामाज्ञा शशिधर
प्रकाशन : अंतिका प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.