शहर अब जंगल के क़रीब आ गया था
और जंगल अब थोड़ा जंगल से दूर।
जंगल भाग रहा था
और जंगल होने के लिए
और शहर और शहर।
पहाड़ थोड़ा और पहाड़ होना चाहता था
नदी थोड़ी और नदी।
झरना थोड़ा और सफ़ेद
समुद्र थोड़ा और नीला
कनइल और पीला होने के लिए बेताब था
अड़हुल और गुलमोहर थोड़ा और लाल।
यह झरना, समुद्र, कनइल, अड़हुल और गुलमोहर का नहीं
रंगों का सामूहिक उत्सव था।
आज शाम चरवाहे के गान में इतनी मिठास थी
कि रुआँसी गायों की पुतलियों में चमक बिखर गई
और सूरज धीरे-धीरे लाल हो
पहाड़ी के नीचे उतर गया।
पालक से हरा
टमाटर से लाल
बैंगन से नीला
आलू से भूरा।
ये सभी कहीं दूर
अपनी गंध के पास जा रहे थे
और गंध अपने इतिहास में।
shahr ab jangal ke qarib aa gaya tha
aur jangal ab thoDa jangal se door
jangal bhag raha tha
aur jangal hone ke liye
aur shahr aur shahr
pahaD thoDa aur pahaD hona chahta tha
nadi thoDi aur nadi
jharna thoDa aur safed
samudr thoDa aur nila
kanil aur pila hone ke liye betab tha
aDahul aur gulmohar thoDa aur lal
ye jharna, samudr, kanil, aDahul aur gulmohar ka nahin
rangon ka samuhik utsaw tha
aj sham charwahe ke gan mein itni mithas thi
ki ruansi gayon ki putaliyon mein chamak bikhar gai
aur suraj dhire dhire lal ho
pahaDi ke niche utar gaya
palak se hara
tamatar se lal
baingan se nila
alu se bhura
ye sabhi kahin door
apni gandh ke pas ja rahe the
aur gandh apne itihas mein
shahr ab jangal ke qarib aa gaya tha
aur jangal ab thoDa jangal se door
jangal bhag raha tha
aur jangal hone ke liye
aur shahr aur shahr
pahaD thoDa aur pahaD hona chahta tha
nadi thoDi aur nadi
jharna thoDa aur safed
samudr thoDa aur nila
kanil aur pila hone ke liye betab tha
aDahul aur gulmohar thoDa aur lal
ye jharna, samudr, kanil, aDahul aur gulmohar ka nahin
rangon ka samuhik utsaw tha
aj sham charwahe ke gan mein itni mithas thi
ki ruansi gayon ki putaliyon mein chamak bikhar gai
aur suraj dhire dhire lal ho
pahaDi ke niche utar gaya
palak se hara
tamatar se lal
baingan se nila
alu se bhura
ye sabhi kahin door
apni gandh ke pas ja rahe the
aur gandh apne itihas mein
स्रोत :
पुस्तक : उम्मीद अब भी बाक़ी है (पृष्ठ 47)
रचनाकार : रविशंकर उपाध्याय
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.