छज्जों से लटकी हुई उदासी
आस्थाहीन दीवार से / घुटी हुई साँसों की
अर्थहीन ज़िंदगी। समय सिसकता है
परत के नीचे / अपने ढंग।
पारस्परिक संबंध / कोसों चले हुए
पस्त पाँवों की / थकान-से लगते
अस्पताल की चहल-पहल / बूढ़े पलंग पर
रोने लगता है आदमी / अपने रक्त के भीतर
देखता अपनी तस्वीर।
झड़ने लगता है अँधेरा / धीरे-धीरे / सड़क के सहारे
उड़ते पाँवों की आवाज़ / शंका में घुटती / धीमी पड़ती।
कई निकलते छेद / सिर पर तने आकाश में
नितांत चौतरफ़ / चौराहे टँगी लाश
भीड़ के धक्कों से / छिल गए कंधे।
छिपकली के / शब्दों की व्याख्या करता
चितबंगा मानव / काला पवन
मनुष्यता को पूछता / आँखें झपकाता।
तकिए के नीचे / देह की ऊष्मा का ताप
ग़रज़मंद रात से लड़ता।
मैं सोचता, सूर्य को / देखने का चाव
अब सवेरे जल्दी नहीं जगाएगा
ग़ज़ब है / बूढ़ी साँसों के सहारे
दम तोड़ता यह गाँव। फीकी धूप
कजलाए हुए चेहरों पर / भूख की अटल छवि।
अनसुहाते से / खेत और वृक्ष
चुल्लू पानी के भरोसे / सरोवर की ओर भागते पाँव
पसीने की पपड़ी में / जमे हुए सपने।
भूख के / भजनों को याद करती मनुष्य-योनि।
क़ुदरत के लंबे हाथों के / क़िस्से-कहानी।
नितांत भाषा / पल-पल घुटते मन की
थकी हुई आशा / ये पर्वत। ये दूह / यह नदी।
ये नाले / अपना रंग / पर बदरंग।
chhajjon se latki hui udasi
asthahin diwar se / ghuti hui sanson ki
arthahin zindagi samay sisakta hai
parat ke niche / apne Dhang
parasparik sambandh / koson chale hue
past panwon ki / thakan se lagte
aspatal ki chahl pahal / buDhe palang par
rone lagta hai adami / apne rakt ke bhitar
dekhta apni taswir
jhaDne lagta hai andhera / dhire dhire / saDak ke sahare
uDte panwon ki awaz / shanka mein ghutti / dhimi paDti
kai nikalte chhed / sir par tane akash mein
nitant chautraf / chaurahe tangi lash
bheeD ke dhakkon se / chhil gaye kandhe
chhipkali ke / shabdon ki wyakhya karta
chitbanga manaw / kala pawan
manushyata ko puchhta / ankhen jhapkata
takiye ke niche / deh ki ushma ka tap
gharazmand raat se laDta
main sochta, surya ko / dekhne ka chaw
ab sawere jaldi nahin jagayega
ghazab hai / buDhi sanson ke sahare
dam toDta ye ganw phiki dhoop
kajlaye hue chehron par / bhookh ki atal chhawi
anasuhate se / khet aur wriksh
chullu pani ke bharose / sarowar ki or bhagte panw
pasine ki papDi mein / jame hue sapne
bhookh ke / bhajnon ko yaad karti manushya yoni
qudrat ke lambe hathon ke / qisse kahani
nitant bhasha / pal pal ghutte man ki
thaki hui aasha / ye parwat
ye dooh / ye nadi
ye nale / apna rang / par badrang
chhajjon se latki hui udasi
asthahin diwar se / ghuti hui sanson ki
arthahin zindagi samay sisakta hai
parat ke niche / apne Dhang
parasparik sambandh / koson chale hue
past panwon ki / thakan se lagte
aspatal ki chahl pahal / buDhe palang par
rone lagta hai adami / apne rakt ke bhitar
dekhta apni taswir
jhaDne lagta hai andhera / dhire dhire / saDak ke sahare
uDte panwon ki awaz / shanka mein ghutti / dhimi paDti
kai nikalte chhed / sir par tane akash mein
nitant chautraf / chaurahe tangi lash
bheeD ke dhakkon se / chhil gaye kandhe
chhipkali ke / shabdon ki wyakhya karta
chitbanga manaw / kala pawan
manushyata ko puchhta / ankhen jhapkata
takiye ke niche / deh ki ushma ka tap
gharazmand raat se laDta
main sochta, surya ko / dekhne ka chaw
ab sawere jaldi nahin jagayega
ghazab hai / buDhi sanson ke sahare
dam toDta ye ganw phiki dhoop
kajlaye hue chehron par / bhookh ki atal chhawi
anasuhate se / khet aur wriksh
chullu pani ke bharose / sarowar ki or bhagte panw
pasine ki papDi mein / jame hue sapne
bhookh ke / bhajnon ko yaad karti manushya yoni
qudrat ke lambe hathon ke / qisse kahani
nitant bhasha / pal pal ghutte man ki
thaki hui aasha / ye parwat
ye dooh / ye nadi
ye nale / apna rang / par badrang
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक भारतीय कविता संचयन राजस्थानी (1950-2010) (पृष्ठ 73)
संपादक : नंद भारद्वाज
रचनाकार : गोरधनसिंह सेखावत
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.