छूटते शहर में वह इमारत
सबसे आख़िर में दिखी
जो आते हुए शहर में
दिखी थी पहली बार
शहर से अनुरक्ति शहर में रहते नहीं
शहर छोड़ने के क्रम में
उभरती है मूक रुलाई बन कर
छूटते शहर की सड़क
बिछाए रखती है अमलतास के आभूषण
जिसे देख कर हर आते हुए यात्री की
आँखों से टपकती है लिप्सा
और जाते हुए की आँखों में संतुष्टि चमकती है
छूटते शहर की ट्रेन इतनी धीमी चलती है
कि स्मृति में बैठे सारे दृश्य
रफ़्तार में चलने लगते हैं
भीतर सावधानी से
पश्चाताप करते हुए भी
काँप जाता है शिथिल प्राण
छूटता शहर हम में छोड़ जाता है
अपने गलियों-चौराहों की पीली शाम
संवाद में अपनी उपस्थिति
एक गंभीर लहज़ा एक विचित्र कोलाहल
छूटता शहर संदिग्ध परिस्थिति में झटक कर
बंद की गई खिड़की है
जिसके जालीदारनुमा वेंटीलेटर से
नहीं आती रौशनी
प्राणवायु छूट जाता है बहुत पीछे
फैल जाता है तनाव भरा सन्नाटा।
chhutte shahr mein wo imarat
sabse akhir mein dikhi
jo aate hue shahr men
dikhi thi pahli baar
shahr se anurakti shahr mein rahte nahin
shahr chhoDne ke kram men
ubharti hai mook rulai ban kar
chhutte shahr ki saDak
bichhaye rakhti hai amaltas ke abhushan
jise dekh kar har aate hue yatri ki
ankhon se tapakti hai lipsa
aur jate hue ki ankhon mein santushti chamakti hai
chhutte shahr ki tren itni dhimi chalti hai
ki smriti mein baithe sare drishya
raftar mein chalne lagte hain
bhitar savadhani se
pashchatap karte hue bhi
kaanp jata hai shithil praan
chhutta shahr hum mein chhoD jata hai
apne galiyon chaurahon ki pili shaam
sanvad mein apni upasthiti
ek gambhir lahza ek vichitr kolahal
chhutta shahr sandigdh paristhiti mein jhatak kar
band ki gai khiDki hai
jiske jalidaranuma ventiletar se
nahin aati raushani
pranvayu chhoot jata hai bahut pichhe
phail jata hai tanav bhara sannata.
chhutte shahr mein wo imarat
sabse akhir mein dikhi
jo aate hue shahr men
dikhi thi pahli baar
shahr se anurakti shahr mein rahte nahin
shahr chhoDne ke kram men
ubharti hai mook rulai ban kar
chhutte shahr ki saDak
bichhaye rakhti hai amaltas ke abhushan
jise dekh kar har aate hue yatri ki
ankhon se tapakti hai lipsa
aur jate hue ki ankhon mein santushti chamakti hai
chhutte shahr ki tren itni dhimi chalti hai
ki smriti mein baithe sare drishya
raftar mein chalne lagte hain
bhitar savadhani se
pashchatap karte hue bhi
kaanp jata hai shithil praan
chhutta shahr hum mein chhoD jata hai
apne galiyon chaurahon ki pili shaam
sanvad mein apni upasthiti
ek gambhir lahza ek vichitr kolahal
chhutta shahr sandigdh paristhiti mein jhatak kar
band ki gai khiDki hai
jiske jalidaranuma ventiletar se
nahin aati raushani
pranvayu chhoot jata hai bahut pichhe
phail jata hai tanav bhara sannata.
स्रोत :
रचनाकार : पीयूष तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.