अचानक से आसमान अपना रंग बदल देता है
बरगद के पत्ते देखने लगते हैं आसमान के पानी को
अब आसमान नीला रंग छोड़कर धूल से भर चुका है
चारों तरफ़ आवाज़ें हैं कि मेह बरसेगा अब
पेड़ों से लटकते बच्चे भागकर घरों में घुस गए हैं
भीगना बच्चों को पसंद है
लेकिन माँएँ उन्हें भीगने नहीं देतीं।
इस देस में बारिशें बहुत कम होती हैं
लेकिन होती हैं तो ख़ूब डरावने अँधेरे से भरी
बाड़ों में बछड़ों के खुरों तक भर आता है पानी
घने पेड़ों से झड़ने लगती हैं अधमरी चिड़ियाँ
खड़ी फ़सलों पर तैर जाती है ओलों की सफ़ेदी
किसान कभी खेत को देखता है कभी आसमान को।
छत से टपकता पानी रिसकर अनाज को छूने लगता है
दीवार से टकराकर गूँजने लगती हैं आवाज़ें
स्त्रियों के बाज़ुओं में खिल उठती है दबी हुई ताक़त
रात की बारिश के बाद का दृश्य है यह
धीरे-धीरे साफ़ आवाज़ों में बोलने लगते हैं झींगुर
रह-रहकर चमकती बिजली में मुँडेर पर दीखता है आसमान।
बारिश के बाद खिल उठता है यह देस
दिन उगते ही मोर छेड़ देते हैं राग अल्हैया बिलावल
रेत से निकलकर महक सारे गाँव में फैल जाती है
रेत के टीलों पर खरपतवार की तरह उग आते हैं बच्चे
वैशाख के मौसम के रंग झरने लगते हैं आसमान से
धीरे-धीरे आसमान सफ़ेद होकर ढँक लेता है धरती को।
achanak se asman apna rang badal deta hai
bargad ke patte dekhne lagte hain asman ke pani ko
ab asman nila rang chhoDkar dhool se bhar chuka hai
charon taraf awazen hain ki meh barsega ab
peDon se latakte bachche bhagkar gharon mein ghus gaye hain
bhigna bachchon ko pasand hai
lekin manen unhen bhigne nahin detin
is des mein barishen bahut kam hoti hain
lekin hoti hain to khoob Darawne andhere se bhari
baDon mein bachhDon ke khuron tak bhar aata hai pani
ghane peDon se jhaDne lagti hain adhamri chiDiyan
khaDi faslon par tair jati hai olon ki safedi
kisan kabhi khet ko dekhta hai kabhi asman ko
chhat se tapakta pani riskar anaj ko chhune lagta hai
diwar se takrakar gunjne lagti hain awazen
striyon ke bazuon mein khil uthti hai dabi hui taqat
raat ki barish ke baad ka drishya hai ye
dhire dhire saf awazon mein bolne lagte hain jhingur
rah rahkar chamakti bijli mein munDer par dikhta hai asman
barish ke baad khil uthta hai ye des
din ugte hi mor chheD dete hain rag alhaiya bilawal
ret se nikalkar mahak sare ganw mein phail jati hai
ret ke tilon par kharpatwar ki tarah ug aate hain bachche
waishakh ke mausam ke rang jharne lagte hain asman se
dhire dhire asman safed hokar Dhank leta hai dharti ko

स्रोत :
रचनाकार : सुमेर सिंह राठौड़
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.