तेरे फ़ोन के इंतज़ार में रात को रोके रखता हूँ
रात मेरे हुक्म की ग़ुलाम न सही पर वो
इंतज़ार करती है कि मैं तुझे अपनी आँखों में
कहीं भीतर छुपा लूँ तब वो आए
दिन एक लंबा पथरीला रास्ता है
जिस पर चलना होता है मुझे तुम्हारी ही खोज में
मेरी प्यारी रात जानती है यह बात
वह मेरी सिगरेटें ख़त्म होने का इंतज़ार करती है
मुझे मोहलत देती हुई कि मैं आग को जी भर चूमूँ
और भर लूँ अपनी साँस और ख़ून में
मेरे जिस्म का रंग गेहुँआ है जो तेरे बदन का रंग है
रात मेरी रात आती है मुझे अपनी बाँहों में लेने
मैं उसकी दी हुई शराब पीता हूँ और उसके जादुई
बदन में अपने को गुम कर देता हूँ
वो मुझसे लिपटती है मेरी जान
वो मुझे खाती है मैं उसे
मैं उसकी बाँहों में मज़े से मर जाता हूँ
tere phone ke intzar mein raat ko roke rakhta hoon
raat mere hukm ki ghulam na sahi par wo
intzar karti hai ki main tujhe apni ankhon mein
kahin bhitar chhupa loon tab wo aaye
din ek lamba pathrila rasta hai
jis par chalna hota hai mujhe tumhari hi khoj mein
meri pyari raat janti hai ye baat
wo meri sigreten khatm hone ka intzar karti hai
mujhe mohlat deti hui ki main aag ko ji bhar chumun
aur bhar loon apni sans aur khoon mein
mere jism ka rang gehuna hai jo tere badan ka rang hai
raat meri raat aati hai mujhe apni banhon mein lene
main uski di hui sharab pita hoon aur uske jadui
badan mein apne ko gum kar deta hoon
wo mujhse lipatti hai meri jaan
wo mujhe khati hai main use
main uski banhon mein maze se mar jata hoon

स्रोत :
रचनाकार : मनोज कुमार पांडेय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.