अब मुझे वहाँ नहीं जाना था
पचास वर्ष बाद
चतुर्भुज सिलावट का मकान पूछने
रास्ते कहीं-से-कहीं मिल गए थे
या जिन्हें मैं ही भूल गया था
कैसा मकान था और कहाँ?
मैंने कहा मैं सुदर्शन लालजी का पुत्र हूँ
हमारी श्यामा घोड़ी थी
यहाँ मैं चल कर गया
जहाँ वह अब नहीं थी
कभी बँधती रही हो शायद
हमारे घर के पीछे अनार के पेड़ थे
खिड़कियों तक लाल फूल वाले
वहीं कुंड था पीछे
स्फटिक की तरह
चमकती सीढ़ियों वाला
दो बहनें जिन्हें दूर से
देखा था मैंने
लाल-चूनर वाली वे
वह अचरज से यह वृत्तांत सुनता
मुझे देखता रहा
आप बहुत दिनों बाद आए हों शायद
हमारे रहते-रहते भी
शहर बदल जाते हैं इतने
कुछ बदलता नज़र नहीं आता
जब हम इतनी जगह रुकते हों
और पूछते हों अपने पुराने घर
ab mujhe wahan nahin jana tha
pachas warsh baad
chaturbhuj silawat ka makan puchhne
raste kahin se kahin mil gaye the
ya jinhen main hi bhool gaya tha
kaisa makan tha aur kahan?
mainne kaha main sudarshan lalji ka putr hoon
hamari shyama ghoDi thi
yahan main chal kar gaya
jahan wo ab nahin thi
kabhi bandhti rahi ho shayad
hamare ghar ke pichhe anar ke peD the
khiDakiyon tak lal phool wale
wahin kunD tha pichhe
sphatik ki tarah
chamakti siDhiyon wala
do bahnen jinhen door se
dekha tha mainne
lal chunar wali we
wo achraj se ye writtant sunta
mujhe dekhta raha
ap bahut dinon baad aaye hon shayad
hamare rahte rahte bhi
shahr badal jate hain itne
kuch badalta nazar nahin aata
jab hum itni jagah rukte hon
aur puchhte hon apne purane ghar
ab mujhe wahan nahin jana tha
pachas warsh baad
chaturbhuj silawat ka makan puchhne
raste kahin se kahin mil gaye the
ya jinhen main hi bhool gaya tha
kaisa makan tha aur kahan?
mainne kaha main sudarshan lalji ka putr hoon
hamari shyama ghoDi thi
yahan main chal kar gaya
jahan wo ab nahin thi
kabhi bandhti rahi ho shayad
hamare ghar ke pichhe anar ke peD the
khiDakiyon tak lal phool wale
wahin kunD tha pichhe
sphatik ki tarah
chamakti siDhiyon wala
do bahnen jinhen door se
dekha tha mainne
lal chunar wali we
wo achraj se ye writtant sunta
mujhe dekhta raha
ap bahut dinon baad aaye hon shayad
hamare rahte rahte bhi
shahr badal jate hain itne
kuch badalta nazar nahin aata
jab hum itni jagah rukte hon
aur puchhte hon apne purane ghar
स्रोत :
रचनाकार : नंद चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए अनुराग चतुर्वेदी द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.