पुकारु नाम एक बेढंगा पत्थर है
एक अनाजन पक्षी का पंख, बेक़ीमत का मोती
बचपन के अकारण बक्से में सँभाल कर रखा हुआ।
इसे जानने वाले सिर्फ़ तेरह बचे संसार में
सबसे ज़ोर से पुकारकर कहीं से भी बुला लेने वाले पिता
नहीं रहे पिछली गर्मियों में
कभी उन्हीं गर्मियों की धूप पुकारती है पिता की आवाज़ में
घर लौट जाओ बाहर बहुत धूप है
धूप से आगाह करती धूप की आवाज़।
पुकारु नाम बचपन की बारिश का पानी है
जिसे बहुत साल के बाद मिलने वाला दोस्त उलीच देता है सिर पर
और कहता है बूढ़े हो रहे हो
मैं उसके बचपन का नाम भूल चुका प्रेत हूँ
मैं उसके सिर पर रेत डाल देता हूँ कि तुम अब भी वैसे ही हो
जवान और खूबसूरत।
हम विदा के सफ़ेद फूल एक दूसरे को भेंट करने का मौक़ा ढूँढ़ रहे हैं
एक पुरानी उदासी का पुकारु नाम हमारी भाषा में गूँजने लगता है।
pukaru nam ek beDhanga patthar hai
ek anajan pakshi ka pankh, beqimat ka moti
bachpan ke akaran bakse mein sanbhal kar rakha hua
ise janne wale sirf terah bache sansar mein
sabse zor se pukarkar kahin se bhi bula lene wale pita
nahin rahe pichhli garmiyon mein
kabhi unhin garmiyon ki dhoop pukarti hai pita ki awaz mein
ghar laut jao bahar bahut dhoop hai
dhoop se agah karti dhoop ki awaz
pukaru nam bachpan ki barish ka pani hai
jise bahut sal ke baad milne wala dost ulich deta hai sir par
aur kahta hai buDhe ho rahe ho
main uske bachpan ka nam bhool chuka pret hoon
main uske sir par ret Dal deta hoon ki tum ab bhi waise hi ho
jawan aur khubasurat
hum wida ke safed phool ek dusre ko bhent karne ka mauqa DhoonDh rahe hain
ek purani udasi ka pukaru nam hamari bhasha mein gunjne lagta hai

स्रोत :
पुस्तक : धूल की जगह (पृष्ठ 21)
रचनाकार : महेश वर्मा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.