काले तख़्ते पर सफ़ेद खड़िया से
मैं तुम्हारे लिए लिखता हूँ—‘अ’
और तुम्हारा मुख
किसी अंधी गुफा के द्वार की तरह
खुल जाता है—‘आऽऽ!’
यह भविष्य है यानी शब्दों की दुनिया में
आने की सहमति। तुमने पहली बार
बीते दिनों की यातना के ख़िलाफ़
मुँह खोला है
और यह उस आदमी का भविष्य है जिसका
गूँगापन
न सिर्फ़, आत्महत्या की सरहद पर बोलता है
मुहावरों के हवाई हमले से बचने के लिए
जिसके दिमाग़ में शताब्दियों का अंधा कूप है
जो खोए हुए साहस की तलाश में
पशुओं की पूँछ के नीचे टटोलता है
जो किताबों के बीच में
जानवर-सा चुप है
यह उस आदमी का भविष्य है जो अचानक,
टूटते-टूटते, इस तरह तन गया है
कि कल तक जो मवेशीख़ाना था उसके लिए
आज पंचायत-भवन बन गया है
लालटेन की लौ ज़रा और तेज़ करो
उसे यहाँ—
पेड़ में गड़ी हुई कील से
लटका दो
हाँ—अब ठीक है
आज का सबक़ शुरू करने से पहले
मैं एक बार फिर वह सब बतलाना चाहूँगा
जिसे मैंने कल कहा था
क्योंकि पिछले पाठ का दुहराना
हर नई शुरुआत में शरीक है
कल मैंने कहा था कि वह दुनिया
जिसे ढकने के लिए तुम नंगे हो रहे थे
उसी दिन उघर गई थी
जिस दिन हर भाषा
तुम्हारे अँगूठा-निशान की स्याही में डूबकर
मर गई थी
तुम अपढ़ थे
गँवार थे
सीधे इतने कि बस—
‘दो और दो चार’ थे
मगर चालाक ‘सुराजिए’
आज़ादी के बाद के अँधेरे में
अपने पुरखों का रंगीन बलगम
और ग़लत इरादों का मौसम जी रहे थे
अपने-अपने दराज़ों की भाषा में बैठकर
‘गर्म कुत्ता’ खा रहे थे
‘सफेद घोड़ा’ पी रहे थे
उन्हें तुम्हारी भूख पर भरोसा था
सबसे पहले उन्होंने एक भाषा तैयार की
जो तुम्हें न्यायालय से लेकर नींद से पहले
की—
प्रार्थना तक, ग़लत रास्तों पर डालती थी
‘वह सच्चा पृथ्वीपुत्र है’
‘वह संसार का अन्नदाता है’
मगर तुम्हारे लिए कहा गया हर वाक्य,
एक धोखा है जो तुम्हें दलदल की ओर
ले जाता है
लहलहाती हुए फ़सलें...
बहती हुई नदी...
उड़ती हुई चिड़ियाँ...
यह सब, सिर्फ़, तुम्हें गूँगा करने की चाल है
क्या तुमने कभी सोचा कि तुम्हारा—
यह जो बुरा हाल है
इसकी वजह क्या है?
इसकी वजह वह खेत है
जो तुम्हारी भूख का दलाल है
आह! मैं समझता हूँ कि यह एक ऐसा सत्य है
जिसे सकारते हुए हर आदमी झिझकता है
मगर तुम ख़ुद सोचो कि डबरे में
डूबता हुआ सूरज
खेत की मेड़ पर खड़े आदमी को
एक लंबी परछाईं के सिवा और क्या दे
सकता है
काफ़ी दुविधा के बाद
मुझे यह सच्चाई सकारनी पड़ी है
यद्यपि यह सही है कि सूरज
तुम्हारी जेब-घड़ी है
तुम्हारी पसलियों पर
मौसम की लटकती हुई ज़ंजीर
हवा में हिलती है और
पशुओं की हरकतों से
तुम्हें आनेवाले ख़तरों की गंध
मिलती है
लेकिन इतना ही काफ़ी नहीं है
इसीलिए मैं फिर कहता हूँ कि हर हाथ में
गीली मिट्टी की तरह—हाँ-हाँ—मत करो
तनो
अकड़ो
अमरबेलि की तरह मत जियो
जड़ पकड़ो
बदलो—अपने-आपको बदलो
यह दुनिया बदल रही है
और यह रात है, सिर्फ़ रात...
इसका स्वागत करो
यह तुम्हें
शब्दों के नए परिचय की ओर लेकर
चल रही है।
kale takhte par safed khaDiya se
main tumhare liye likhta hun—‘a’
aur tumhara mukh
kisi andhi gupha ke dwar ki tarah
khul jata hai—‘aऽऽ!’
ye bhawishya hai yani shabdon ki duniya mein
ane ki sahamti tumne pahli bar
bite dinon ki yatana ke khilaf
munh khola hai
aur ye us adami ka bhawishya hai jiska
gungapan
na sirf, atmahatya ki sarhad par bolta hai
muhawron ke hawai hamle se bachne ke liye
jiske dimagh mein shatabdiyon ka andha koop hai
jo khoe hue sahas ki talash mein
pashuon ki poonchh ke niche tatolta hai
jo kitabon ke beech mein
janwar sa chup hai
ye us adami ka bhawishya hai jo achanak,
tutte tutte, is tarah tan gaya hai
ki kal tak jo maweshikhana tha uske liye
aj panchayat bhawan ban gaya hai
lalten ki lau zara aur tez karo
use yahan—
peD mein gaDi hui keel se
latka do
han—ab theek hai
aj ka sabaq shuru karne se pahle
main ek bar phir wo sab batlana chahunga
jise mainne kal kaha tha
kyonki pichhle path ka duhrana
har nai shuruat mein sharik hai
kal mainne kaha tha ki wo duniya
jise dhakne ke liye tum nange ho rahe the
usi din ughar gai thi
jis din har bhasha
tumhare angutha nishan ki syahi mein Dubkar
mar gai thi
tum apaDh the
ganwar the
sidhe itne ki bus—
‘do aur do chaar’ the
magar chalak ‘surajiye’
azadi ke baad ke andhere mein
apne purkhon ka rangin balgam
aur ghalat iradon ka mausam ji rahe the
apne apne darazon ki bhasha mein baithkar
‘garm kutta’ kha rahe the
‘saphed ghoDa’ pi rahe the
unhen tumhari bhookh par bharosa tha
sabse pahle unhonne ek bhasha taiyar ki
jo tumhein nyayalay se lekar neend se pahle
kee—
pararthna tak, ghalat raston par Dalti thi
‘wah sachcha prithwiputr hai’
‘wah sansar ka anndata hai’
magar tumhare liye kaha gaya har waky,
ek dhokha hai jo tumhein daldal ki or
le jata hai
lahlahati hue faslen
bahti hui nadi
uDti hui chiDiyan
ye sab, sirf, tumhein gunga karne ki chaal hai
kya tumne kabhi socha ki tumhara—
ye jo bura haal hai
iski wajah kya hai?
iski wajah wo khet hai
jo tumhari bhookh ka dalal hai
ah! main samajhta hoon ki ye ek aisa saty hai
jise sakarte hue har adami jhijhakta hai
magar tum khu socho ki Dabre mein
Dubta hua suraj
khet ki meD par khaDe adami ko
ek lambi parchhain ke siwa aur kya de
sakta hai
kafi duwidha ke baad
mujhe ye sachchai sakarni paDi hai
yadyapi ye sahi hai ki suraj
tumhari jeb ghaDi hai
tumhari pasaliyon par
mausam ki latakti hui zanjir
hawa mein hilti hai aur
pashuon ki harakton se
tumhein anewale khatron ki gandh
milti hai
lekin itna hi kafi nahin hai
isiliye main phir kahta hoon ki har hath mein
gili mitti ki tarah—han han—mat karo
tano
akDo
amarbeli ki tarah mat jiyo
jaD pakDo
badlo—apne aapko badlo
ye duniya badal rahi hai
aur ye raat hai, sirf raat
iska swagat karo
ye tumhein
shabdon ke nae parichai ki or lekar
chal rahi hai
kale takhte par safed khaDiya se
main tumhare liye likhta hun—‘a’
aur tumhara mukh
kisi andhi gupha ke dwar ki tarah
khul jata hai—‘aऽऽ!’
ye bhawishya hai yani shabdon ki duniya mein
ane ki sahamti tumne pahli bar
bite dinon ki yatana ke khilaf
munh khola hai
aur ye us adami ka bhawishya hai jiska
gungapan
na sirf, atmahatya ki sarhad par bolta hai
muhawron ke hawai hamle se bachne ke liye
jiske dimagh mein shatabdiyon ka andha koop hai
jo khoe hue sahas ki talash mein
pashuon ki poonchh ke niche tatolta hai
jo kitabon ke beech mein
janwar sa chup hai
ye us adami ka bhawishya hai jo achanak,
tutte tutte, is tarah tan gaya hai
ki kal tak jo maweshikhana tha uske liye
aj panchayat bhawan ban gaya hai
lalten ki lau zara aur tez karo
use yahan—
peD mein gaDi hui keel se
latka do
han—ab theek hai
aj ka sabaq shuru karne se pahle
main ek bar phir wo sab batlana chahunga
jise mainne kal kaha tha
kyonki pichhle path ka duhrana
har nai shuruat mein sharik hai
kal mainne kaha tha ki wo duniya
jise dhakne ke liye tum nange ho rahe the
usi din ughar gai thi
jis din har bhasha
tumhare angutha nishan ki syahi mein Dubkar
mar gai thi
tum apaDh the
ganwar the
sidhe itne ki bus—
‘do aur do chaar’ the
magar chalak ‘surajiye’
azadi ke baad ke andhere mein
apne purkhon ka rangin balgam
aur ghalat iradon ka mausam ji rahe the
apne apne darazon ki bhasha mein baithkar
‘garm kutta’ kha rahe the
‘saphed ghoDa’ pi rahe the
unhen tumhari bhookh par bharosa tha
sabse pahle unhonne ek bhasha taiyar ki
jo tumhein nyayalay se lekar neend se pahle
kee—
pararthna tak, ghalat raston par Dalti thi
‘wah sachcha prithwiputr hai’
‘wah sansar ka anndata hai’
magar tumhare liye kaha gaya har waky,
ek dhokha hai jo tumhein daldal ki or
le jata hai
lahlahati hue faslen
bahti hui nadi
uDti hui chiDiyan
ye sab, sirf, tumhein gunga karne ki chaal hai
kya tumne kabhi socha ki tumhara—
ye jo bura haal hai
iski wajah kya hai?
iski wajah wo khet hai
jo tumhari bhookh ka dalal hai
ah! main samajhta hoon ki ye ek aisa saty hai
jise sakarte hue har adami jhijhakta hai
magar tum khu socho ki Dabre mein
Dubta hua suraj
khet ki meD par khaDe adami ko
ek lambi parchhain ke siwa aur kya de
sakta hai
kafi duwidha ke baad
mujhe ye sachchai sakarni paDi hai
yadyapi ye sahi hai ki suraj
tumhari jeb ghaDi hai
tumhari pasaliyon par
mausam ki latakti hui zanjir
hawa mein hilti hai aur
pashuon ki harakton se
tumhein anewale khatron ki gandh
milti hai
lekin itna hi kafi nahin hai
isiliye main phir kahta hoon ki har hath mein
gili mitti ki tarah—han han—mat karo
tano
akDo
amarbeli ki tarah mat jiyo
jaD pakDo
badlo—apne aapko badlo
ye duniya badal rahi hai
aur ye raat hai, sirf raat
iska swagat karo
ye tumhein
shabdon ke nae parichai ki or lekar
chal rahi hai
स्रोत :
पुस्तक : संसद से सड़क तक (पृष्ठ 46)
रचनाकार : धूमिल
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.