गुरुत्वाकर्षण बल पर भारी तुम्हारा प्रेम
मज़बूर करता है रातों में
टिके रहने को छत से
और अटकी ख़्वाहिशें
हौले-हौले दम भरती हैं
साँसों की अनियमितता पर इक तुम्हारा नाम
पेपर वेट की तरह लगाता है
अपने होने का ठप्पा और
कुहासे भरी भोर में तुम्हारे शब्द
दिसंबर की धूप की मानिंद
कुछ ठंडी और कुछ गुनगुनी
भरोसे के आयाम को थामे
भरती है मेरे मन में उष्मा
एक दोपहर भटकती हुई मै
अपने ही टूटे टुकड़ों से जोड़ती हूँ तुम्हें
और उस बीहड़ में भटकती हूँ तुम्हारे साथ,
जहाँ सब कुछ
धुएँ की ग़ुब्बार की अवधि में लिपटा हुआ है
gurutvakarshan bal par bhari tumhara prem
mazbur karta hai raton mein
tike rahne ko chhat se
aur atki khvahishen
haule haule dam bharti hain
sanson ki aniymitta par ik tumhara naam
pepar vet ki tarah lagata hai
apne hone ka thappa aur
kuhase bhari bhor mein tumhare shabd
disambar ki dhoop ki manind
kuch thanDi aur kuch gunguni
bharose ke ayam ko thame
bharti hai mere man mein ushma
ek dopahar bhatakti hui mai
apne hi tute tukDon se joDti hoon tumhen
aur us bihaD mein bhatakti hoon tumhare saath,
jahan sab kuch
dhunen ki ghubbar ki avadhi mein lipta hua hai
gurutvakarshan bal par bhari tumhara prem
mazbur karta hai raton mein
tike rahne ko chhat se
aur atki khvahishen
haule haule dam bharti hain
sanson ki aniymitta par ik tumhara naam
pepar vet ki tarah lagata hai
apne hone ka thappa aur
kuhase bhari bhor mein tumhare shabd
disambar ki dhoop ki manind
kuch thanDi aur kuch gunguni
bharose ke ayam ko thame
bharti hai mere man mein ushma
ek dopahar bhatakti hui mai
apne hi tute tukDon se joDti hoon tumhen
aur us bihaD mein bhatakti hoon tumhare saath,
jahan sab kuch
dhunen ki ghubbar ki avadhi mein lipta hua hai
स्रोत :
रचनाकार : गुंजन उपाध्याय पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.