भोर की बेला में
शीत से झुकी
दूब की पलकों के बीच उनका बजना
सा नि ध प म प ग म का अलाप है।
यहीं से प्रथम शुरू हुआ
भोर में पक्षियों का गान।
उनके झंकार मात्र से ध्वन्यात्मक हो उठी
दिशाओं को मिल गया नया संगीत
नए मौसमों के स्वागत-गान के लिए।
किसी रोज़ भागीरथी के तट पर
रेत में सने तुम्हारे पाँव में
बंदनवार की तरह सजे
घुँघरुओं ने तब छेड़ा था आलाप।
अंजुरी भर जल किसी घाट पर
झुकता हूँ पीने को
कल-कल छल-छल के साथ
घुँघरुओं का समवेत गान सुनाई देता है।
होंठ लगाता हूँ
कंठ से होकर हृदय तक जाता है जल
और रात के सन्नाटे में कहीं
बजती रहती है पायल!
धीरे-धीरे।
bhor ki bela mein
sheet se jhuki
doob ki palkon ke beech unka bajna
sa ni dha pa madh pa g madh ka alap hai
yahin se pratham shuru hua
bhor mein pakshiyon ka gan
unke jhankar matr se dhwanyatmak ho uthi
dishaon ko mil gaya naya sangit
nae mausmon ke swagat gan ke liye
kisi roz bhagirathi ke tat par
ret mein sane tumhare panw mein
bandanwar ki tarah saje
ghungharuon ne tab chheDa tha alap
anjuri bhar jal kisi ghat par
jhukta hoon pine ko
kal kal chhal chhal ke sath
ghungharuon ka samwet gan sunai deta hai
honth lagata hoon
kanth se hokar hirdai tak jata hai jal
aur raat ke sannate mein kahin
bajti rahti hai payel!
dhire dhire
bhor ki bela mein
sheet se jhuki
doob ki palkon ke beech unka bajna
sa ni dha pa madh pa g madh ka alap hai
yahin se pratham shuru hua
bhor mein pakshiyon ka gan
unke jhankar matr se dhwanyatmak ho uthi
dishaon ko mil gaya naya sangit
nae mausmon ke swagat gan ke liye
kisi roz bhagirathi ke tat par
ret mein sane tumhare panw mein
bandanwar ki tarah saje
ghungharuon ne tab chheDa tha alap
anjuri bhar jal kisi ghat par
jhukta hoon pine ko
kal kal chhal chhal ke sath
ghungharuon ka samwet gan sunai deta hai
honth lagata hoon
kanth se hokar hirdai tak jata hai jal
aur raat ke sannate mein kahin
bajti rahti hai payel!
dhire dhire
स्रोत :
रचनाकार : पंकज प्रखर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.