मध्य मार्ग के थकित सूत्र और
जन्म-मरण की तिब्बती पुस्तकें लेकर चलना श्रेयस्कर था
लेकिन कोई था जो इन सबसे व्यापक था
जिसे किसी साक्ष्य या प्रमाण की आवश्यकता नहीं थी
जिसके स्मरण में मन, बुद्धि, चित्त समग्रता से डूबे रहे
और आकाश की भंगिमाओं में उसका सुंदर चेहरा उभरता रहा
वह जो केवल मेरी संपदा था—
जिस पर सदैव रहस्य की झीनी चादर पड़ी रही
प्रेम की सभ्यता प्रतिष्ठित हुई
और उसके दृष्टि स्पर्श से देह का मार्जन हुआ
लिखा तो बहुत उस पर लेकिन
संबोधन में सदैव असमंजस बना रहा
यह एक निहायत ही गूढ़ संयोजन था जीवन का
उसकी आवाज़ भर सुन लेने से
छंदशास्त्र की समस्त रागिनियाँ निरर्थक हो जातीं
रास्ते पर चलना...
जीवन में भटक जाने का पर्याय था
इसलिए मैं उसके प्रेम में पूर्णतया पथभ्रष्ट थी
नियमनिष्ठ तो बिल्कुल भी नहीं
सभ्यता, शिष्टता, संस्कार के दहन के उपरांत
जिस दिन मैंने पृथ्वी का लास्य
निष्कवच सूर्य को दिखाने के लिए
रंगमहल के सात द्वार
उस प्रेयस का हाथ थाम कर पार किए थे
उस दिन नक्षत्रों की गति अचंभे में पड़ गई थी
और चटक गई थी गर्भगृह में स्थापित
एक देवमूर्ति
madhya maarg ke thakit sootr aur
janm marn ki tibbati pustken lekar chalna shreykar tha
lekin koi tha jo in sabse vyapak tha
jise kisi saakshy ya praman ki avashyakta nahin thi
jiske smarn mein man, buddhi, chitt samagrata se Dube rahe
aur akash ki bhangimaon mein uska sundar chehra ubharta raha
“vo” jo keval meri sampada tha—
jis par sadaiv rahasy ki jhini chadar paDi rahi
prem ki sabhyata pratishthit hui
aur uske drishti sparsh se deh ka marjan hua
likha to bahut us par lekin
sambodhan mein sadaiv asmanjas bana raha
ye ek nihayat hi gooDh sanyojan tha jivan ka
us ki avaz bhar sun lene se
chhandshastr ki samast raginiyan nirarthak ho jatin
raste par chalna jivan mein bhatak jane ka paryay tha
isliye main uske prem mein purnataya pathabhrasht thi
niyamnishth to bilkul bhi nahin
sabhyata, shishtata, sanskar ke dahan ke upraant
jis din mainne prithvi ka laasy
nishkvach surya ko dikhane ke liye
rangamhal ke saat dvaar
us preyas ka haath thaam kar paar kiye the
us din nakshatron ki gati achambhe mein paD gai thi
aur chatak gai thi garbhagrh mein sthapit
ek devamurti

स्रोत :
रचनाकार : अनुजीत इक़बाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.