जग के संकट-संघर्षों में मन को सुदृढ़ बनाने को,
और हृदय को स्वर्गपुरी की ड्योढ़ी तक पहुँचाने को,
भक्तों ने भक्तिनियों ने भी, जिनके काम चरित्र पुनीत
लिख-लिख गाए और सुनाए हैं कितने ही पावन गीत।
लेकिन उन अगणित गीतों में, भजन-पदों में केवल एक
है ऐसा जिससे होता है मुझमें भावों का उद्रेक।
उपवासों की, पश्चातापों की, तिथियाँ जब आती हैं,
वही प्रार्थना तब हर गिरजे में दुहराई जाती है।
वही प्रार्थना उठा करेगी मेरे उर से बारंबार,
वही करेगी मेरे निबल मानस में बल का संचार—
ओ मेरी श्वासों के स्वामी! दो मुझको ऐसा वरदान,
मेरे निकट न फटके आलस और निराशा का शैतान।
मन से कटकर जीभ न रटती जाए घटवासी का नाम,
करे नहीं विषयों का विषधर मेरे मन को अपना धाम।
अपने भाई की भूलों की ओर न जाए मेरा ध्यान,
किंतु न अपने अपराधों को कभी करूँ मैं क्षमा प्रदान।
जाग्रत हो मेरे अंतर में भाव समर्पण का, भगवान!
प्रेम, तपस्या, पावनता में देखूँ मैं अपना कल्याण।
jag ke sankat sagharshon mein man ko sudriDh banane ko,
aur hirdai ko svargapuri ki DyoDhi tak pahunchane ki,
bhakton ne bhaktiniyon ne bhi, jinke kaam charitr punit
likh likh gaye aur sunaye hain kitne hi pavan geet.
lekin un agnit giton mein, bhajan padon mein keval ek
hai aisa jisse hota hai mujhmen bhavon ka udrek.
upvason ki, pashchattapo ki, tithiyan jab aati hain,
vahi pararthna tab har girje mein duhrai jati hai.
vahi pararthna utha karegi mere ur se barbar,
vahi karegi mere nibal manas mein bal ka sanchar—
o meri shvason ke svami do mujhko aisa vardan,
mere nikat na phatke aalas aur nirasha ka shaitan.
man se katkar jeebh na ratti jaye ghatvasi ka naam,
kare nahin vishyon ka vishadhar mere man ko apna dhaam.
apne bhai ki bhulon ki or na jaye mera dhyaan,
kintu na apne apradhon ko kabhi karun mein kshama pradan.
jagrat ho mere antar mein bhaav samarpan ka, bhagvan
prem, tapasya, pavanta mein dekhun main apna kalyan.

स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 65)
रचनाकार : अलेक्सांद्र पूश्किन
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.