सब कुछ ठीक चल रहा था हमारे बीच
दिन भी सात ही होते थे
और महीना भी तीस ही दिन का था
हर तिमाही पर मौसम बदलता था
और छटे छमाही याद की जाती थी
पुरानी प्यारी बातें
फिर अचानक एक दिन
बदल गया काल-चक्र
आँधी में उड़ गया हमारा निजी पंचांग
अब सप्ताह होता था दो दिन का
दुनिया जिसे वीकेंड समझ
जश्न की तैयारी में व्यस्त होती
उन दो दिनों में भटकता था मैं बेहताशा
महीना अब कोई एक पूरा नहीं होता था
जेठ में बैसाख और चैत में आषाढ़ के बादल
दिखने लगते थे आसमान पर
मौसम अब एक जैसा रहता था
मैं उसके बदलने के इंतज़ार में
थक गया था
दो जोड़ी कपड़ों से बीत गया था साल
न ठंड में ठंड लगी न गर्मी में गर्मी
बरसात रूमानी भी होती है
नहीं था मालूम
जिस बरसात को जानता था मैं
वो अचानक आती और भिगो देती थी
तार पर टँगी उल्टी बुरशट को
सब कुछ ठीक चलने के बाद
एक दिन चलता है
सब कुछ ठीक न चलना
जो बदल देता है
सारे विशेषण सर्वनाम में
ऐसा नहीं अब सब कुछ ठीक चल रहा है हमारे मध्य
जो लिख रहा हूँ मैं एक कविता
या बाँट रहा हूँ ज्ञान मनुष्य की त्रासदी पर
अब बस इतना है कि
ठीक चलने और ठीक न चलने के बीच
जो कुछ अच्छी बातें याद रह जाती हैं
एकदम अपनी निरपेक्ष प्रकृति के साथ
उनके भरोसे मैं देख रहा हूँ
माया के उस विचित्र नियोजन को
जिस दुनिया का
कभी एक कुशल अभियंता था मैं
उसी का आज दिहाड़ी मज़दूर हूँ
भूल गया हूँ अपनी सारी निपुणताएँ
कर दिया ख़ुद को माँग के हवाले
बस इतना भर याद है
कभी सब कुछ ठीक चल रहा था हमारे मध्य
जो अब नहीं है।
sab kuch theek chal raha tha hamare beech
din bhi sat hi hote the
aur mahina bhi tees hi din ka tha
har timahi par mausam badalta tha
aur chhate chhamahi yaad ki jati thi
purani pyari baten
phir achanak ek din
badal gaya kal chakr
andhi mein uD gaya hamara niji panchang
ab saptah hota tha do din ka
duniya jise wikenD samajh
jashn ki taiyari mein wyast hoti
un do dinon mein bhatakta tha main behtasha
mahina ab koi ek pura nahin hota tha
jeth mein baisakh aur chait mein ashaDh ke badal
dikhne lagte the asman par
mausam ab ek jaisa rahta tha
main uske badalne ke intzar mein
thak gaya tha
do joDi kapDon se beet gaya tha sal
na thanD mein thanD lagi na garmi mein garmi
barsat rumani bhi hoti hai
nahin tha malum
jis barsat ko janta tha main
wo achanak aati aur bhigo deti thi
tar par tangi ulti burshat ko
sab kuch theek chalne ke baad
ek din chalta hai
sab kuch theek na chalna
jo badal deta hai
sare wisheshan sarwanam mein
aisa nahin ab sab kuch theek chal raha hai hamare madhya
jo likh raha hoon main ek kawita
ya bant raha hoon gyan manushya ki trasadi par
ab bus itna hai ki
theek chalne aur theek na chalne ke beech
jo kuch achchhi baten yaad rah jati hain
ekdam apni nirpeksh prakrti ke sath
unke bharose main dekh raha hoon
maya ke us wichitr niyojan ko
jis duniya ka
kabhi ek kushal abhiyanta tha main
usi ka aaj dihaDi mazdur hoon
bhool gaya hoon apni sari nipuntayen
kar diya khu ko mang ke hawale
bus itna bhar yaad hai
kabhi sab kuch theek chal raha tha hamare madhya
jo ab nahin hai
sab kuch theek chal raha tha hamare beech
din bhi sat hi hote the
aur mahina bhi tees hi din ka tha
har timahi par mausam badalta tha
aur chhate chhamahi yaad ki jati thi
purani pyari baten
phir achanak ek din
badal gaya kal chakr
andhi mein uD gaya hamara niji panchang
ab saptah hota tha do din ka
duniya jise wikenD samajh
jashn ki taiyari mein wyast hoti
un do dinon mein bhatakta tha main behtasha
mahina ab koi ek pura nahin hota tha
jeth mein baisakh aur chait mein ashaDh ke badal
dikhne lagte the asman par
mausam ab ek jaisa rahta tha
main uske badalne ke intzar mein
thak gaya tha
do joDi kapDon se beet gaya tha sal
na thanD mein thanD lagi na garmi mein garmi
barsat rumani bhi hoti hai
nahin tha malum
jis barsat ko janta tha main
wo achanak aati aur bhigo deti thi
tar par tangi ulti burshat ko
sab kuch theek chalne ke baad
ek din chalta hai
sab kuch theek na chalna
jo badal deta hai
sare wisheshan sarwanam mein
aisa nahin ab sab kuch theek chal raha hai hamare madhya
jo likh raha hoon main ek kawita
ya bant raha hoon gyan manushya ki trasadi par
ab bus itna hai ki
theek chalne aur theek na chalne ke beech
jo kuch achchhi baten yaad rah jati hain
ekdam apni nirpeksh prakrti ke sath
unke bharose main dekh raha hoon
maya ke us wichitr niyojan ko
jis duniya ka
kabhi ek kushal abhiyanta tha main
usi ka aaj dihaDi mazdur hoon
bhool gaya hoon apni sari nipuntayen
kar diya khu ko mang ke hawale
bus itna bhar yaad hai
kabhi sab kuch theek chal raha tha hamare madhya
jo ab nahin hai
स्रोत :
रचनाकार : डॉ. अजित
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.