खेतों में उग रही है कपास
प्रजननरत हैं रेशम के कीड़े
भेड़
नाई के यहाँ जा रही हैं
घूम रहा है चरख़ा
चल रहा है करघा
ख़ूब काते जा रहे हैं सूत
ख़ूब बुने जा रहे हैं कपड़े
ऐन इसी समय
पाँच स्त्रियों को नंगा किया जा रहा है
गाँव के बीचों-बीच
भरी भीड़ में
एक-एक कर नोचे जा रहे हैं सारे कपड़े
देह से अंतिम कपड़ों के नुचते ही
उनकी बाँहें और टाँगें
अपस में सूत की तरह गुँथकर बन जाना चाहती हैं
ख़ूब गझिन कपड़े का कोई टुकड़ा
गालियाँ बकती हुई बंद करती हैं वे अपनी आँखें
तो पलकें चाहती हैं मूँद लेना पूरा शरीर
आत्मा चाहती है बन जाना देह की चदरिया
पाँच स्त्रियों को बहुत चुभता है
दिन का अश्लील प्रकाश
भीड़ में कोई नहीं सोचता कि अब
फूँककर बुझा देना चाहिए सूर्य!
पाँच स्त्रियों को चलाया जाता है
यहाँ से वहाँ तक
वहाँ से वापिस नहीं लौटना चाहती हैं वे
मुड़ जाना
किसी पथरीले और जंगली समय की ओर
जब तन ढँकने का रिवाज नहीं था
अधिक से अधिक
देह की चमड़ी भर उतारी जा सकती थी
शर्म से लहूलुहान पाँच स्त्रियाँ
देह पर लाज भर लत्ता नहीं
धीरे-धीरे सारी लाज
सहमी हुई जा दुबकती है नाख़ूनों की ओट में
बची हुई मैल के बीच
जब पहली बार पृथ्वी पर
कपास को दूह कर काता गया होगा
पहला-पहला सूत
उसी समय पहले सूत से ही बुन दी गई होगी
पाँच स्त्रियों की नग्नता
पाँच स्त्रियाँ दुनियाँ की असंख्य स्त्रियाँ हैं
कभी विज्ञापनों में
कभी माँ के गर्भ में ही
कभी पीट-पीटकर जबरन
नंगी की जाती हुई
और कभी-कभी तो कोई कुछ करता भी नहीं
अपने ही हाथों उतारने लगती हैं वे अपने कपड़े चुपचाप
अब क्या करना होगा इन्हें फिर से ढँकने के लिए?
अख़बार में छपी है ख़बर
पर कहता है दर्ज़ी कि नाप से कम है ख़बर
सदन में जो बहस हुई
नाप से कम है
कम है नाप से कविता
श्रीकृष्ण वस्त्रालय पर लगा हुआ है ताला
और वह रास्ता
जो जाता है यहाँ से गांधीनगर की ओर
जहाँ एशिया का सबसे बड़ा कपड़ा बाज़ार है
कहीं बीच में ही खो गया है
तो क्या
अब हमारी इस पृथ्वी को अपनी धुरी पर
किसी लट्टू की तरह नहीं
बल्कि एक तकली की तरह घूमना होगा?
kheton mein ug rahi hai kapas
prajananrat hain resham ke kiDe
bheD
nai ke yahan ja rahi hain
ghoom raha hai charkha
chal raha hai kargha
khoob kate ja rahe hain soot
khoob bune ja rahe hain kapDe
ain isi samay
panch striyon ko nanga kiya ja raha hai
ganw ke bichon beech
bhari bheeD mein
ek ek kar noche ja rahe hain sare kapDe
deh se antim kapDon ke nuchte hi
unki banhen aur tangen
apas mein soot ki tarah gunthakar ban jana chahti hain
khoob gajhin kapDe ka koi tukDa
galiyan bakti hui band karti hain we apni ankhen
to palken chahti hain moond lena pura sharir
atma chahti hai ban jana deh ki chadariya
panch striyon ko bahut chubhta hai
din ka ashlil parkash
bheeD mein koi nahin sochta ki ab
phunkakar bujha dena chahiye surya!
panch striyon ko chalaya jata hai
yahan se wahan tak
wahan se wapis nahin lautna chahti hain we
muD jana
kisi pathrile aur jangli samay ki or
jab tan Dhankane ka riwaj nahin tha
adhik se adhik
deh ki chamDi bhar utari ja sakti thi
sharm se lahuluhan panch striyan
deh par laj bhar latta nahin
dhire dhire sari laj
sahmi hui ja dubakti hai nakhunon ki ot mein
bachi hui mail ke beech
jab pahli bar prithwi par
kapas ko dooh kar kata gaya hoga
pahla pahla soot
usi samay pahle soot se hi bun di gai hogi
panch striyon ki nagnta
panch striyan duniyan ki asankhya striyan hain
kabhi wigyapnon mein
kabhi man ke garbh mein hi
kabhi peet pitkar jabran
nangi ki jati hui
aur kabhi kabhi to koi kuch karta bhi nahin
apne hi hathon utarne lagti hain we apne kapDe chupchap
ab kya karna hoga inhen phir se Dhankane ke liye?
akhbar mein chhapi hai khabar
par kahta hai darzi ki nap se kam hai khabar
sadan mein jo bahs hui
nap se kam hai
kam hai nap se kawita
shrikrishn wastralay par laga hua hai tala
aur wo rasta
jo jata hai yahan se gandhingar ki or
jahan asia ka sabse baDa kapDa bazar hai
kahin beech mein hi kho gaya hai
to kya
ab hamari is prithwi ko apni dhuri par
kisi lattu ki tarah nahin
balki ek takli ki tarah ghumna hoga?
kheton mein ug rahi hai kapas
prajananrat hain resham ke kiDe
bheD
nai ke yahan ja rahi hain
ghoom raha hai charkha
chal raha hai kargha
khoob kate ja rahe hain soot
khoob bune ja rahe hain kapDe
ain isi samay
panch striyon ko nanga kiya ja raha hai
ganw ke bichon beech
bhari bheeD mein
ek ek kar noche ja rahe hain sare kapDe
deh se antim kapDon ke nuchte hi
unki banhen aur tangen
apas mein soot ki tarah gunthakar ban jana chahti hain
khoob gajhin kapDe ka koi tukDa
galiyan bakti hui band karti hain we apni ankhen
to palken chahti hain moond lena pura sharir
atma chahti hai ban jana deh ki chadariya
panch striyon ko bahut chubhta hai
din ka ashlil parkash
bheeD mein koi nahin sochta ki ab
phunkakar bujha dena chahiye surya!
panch striyon ko chalaya jata hai
yahan se wahan tak
wahan se wapis nahin lautna chahti hain we
muD jana
kisi pathrile aur jangli samay ki or
jab tan Dhankane ka riwaj nahin tha
adhik se adhik
deh ki chamDi bhar utari ja sakti thi
sharm se lahuluhan panch striyan
deh par laj bhar latta nahin
dhire dhire sari laj
sahmi hui ja dubakti hai nakhunon ki ot mein
bachi hui mail ke beech
jab pahli bar prithwi par
kapas ko dooh kar kata gaya hoga
pahla pahla soot
usi samay pahle soot se hi bun di gai hogi
panch striyon ki nagnta
panch striyan duniyan ki asankhya striyan hain
kabhi wigyapnon mein
kabhi man ke garbh mein hi
kabhi peet pitkar jabran
nangi ki jati hui
aur kabhi kabhi to koi kuch karta bhi nahin
apne hi hathon utarne lagti hain we apne kapDe chupchap
ab kya karna hoga inhen phir se Dhankane ke liye?
akhbar mein chhapi hai khabar
par kahta hai darzi ki nap se kam hai khabar
sadan mein jo bahs hui
nap se kam hai
kam hai nap se kawita
shrikrishn wastralay par laga hua hai tala
aur wo rasta
jo jata hai yahan se gandhingar ki or
jahan asia ka sabse baDa kapDa bazar hai
kahin beech mein hi kho gaya hai
to kya
ab hamari is prithwi ko apni dhuri par
kisi lattu ki tarah nahin
balki ek takli ki tarah ghumna hoga?
स्रोत :
रचनाकार : चंदन सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.