सिर्फ़ चेहरे बदलते हैं
नाम बदल जाते हैं
पीड़ा फिर-फिर लौटती है—
ठीक उसी रूप में
ठीक उसी रूप में लौटता है—
मनुष्य के भीतर का प्रेम
वह नहीं कर पाता आविष्कृत—
प्रेम करने का कोई नया ढंग
फिर जा टकराते हैं
हम उसी चमेली के झाड़ से
ख़ुशबुओं में डूबते-उभरते हैं
फिरते हैं उसी एक गंध के पीछे बौराए
चुभना तय है—पाँव में करौंदे का काँटा
धँस जाना है—घुटनों में नागफनी को
बोगनवेलिया को अँगूठे का लहू पीना ही है—
एक रोज़
झरना ही है हम पर अमलतास
फिर सब मिट्टी में मिल जाना है
प्रेम को फिर टँग जाना है बहुत दूर कहीं
एक दिन आसमानों में चाँद-सितारा बनकर।
sirf chehre badalte hain
nam badal jate hain
piDa phir phir lautti hai—
theek usi roop mein
theek usi roop mein lautta hai—
manushya ke bhitar ka prem
wo nahin kar pata awishkrit—
prem karne ka koi naya Dhang
phir ja takrate hain
hum usi chameli ke jhaD se
khushabuon mein Dubte ubharte hain
phirte hain usi ek gandh ke pichhe bauraye
chubhna tay hai—panw mein karaunde ka kanta
dhans jana hai—ghutnon mein nagaphni ko
boganweliya ko anguthe ka lahu pina hi hai—
ek roz
jharna hi hai hum par amaltas
phir sab mitti mein mil jana hai
prem ko phir tang jana hai bahut door kahin
ek din asmanon mein chand sitara bankar
sirf chehre badalte hain
nam badal jate hain
piDa phir phir lautti hai—
theek usi roop mein
theek usi roop mein lautta hai—
manushya ke bhitar ka prem
wo nahin kar pata awishkrit—
prem karne ka koi naya Dhang
phir ja takrate hain
hum usi chameli ke jhaD se
khushabuon mein Dubte ubharte hain
phirte hain usi ek gandh ke pichhe bauraye
chubhna tay hai—panw mein karaunde ka kanta
dhans jana hai—ghutnon mein nagaphni ko
boganweliya ko anguthe ka lahu pina hi hai—
ek roz
jharna hi hai hum par amaltas
phir sab mitti mein mil jana hai
prem ko phir tang jana hai bahut door kahin
ek din asmanon mein chand sitara bankar
स्रोत :
रचनाकार : वियोगिनी ठाकुर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.