मेरे कमरे की दीवार पर
टँगा है विश्व का मानचित्र
दो हिस्से सागर और
एक हिस्से में कई देश।
उनके बीच परिचित-सा भारत।
रेखांकित भारत के सागर तट पर
सागर जल में—
ना ना... आदमी के आँसू भींगी
कुछ ज़मीन
चूहे के पेट-सा दिखता ओड़िशा।
मीलों पसरी उजाड़ और बंजर धरती
कई आधी-अधूरी नदियों का जाल
जो उफन पड़ती बरसात में
छोटे-मोटे बाँध,
कहीं एक-दो कारखाने
मच्छी के दोने-जैसे गाँवों के गुच्छ
बीच-बीच कहीं एक-एक शहर,
छीलते-छीलते बची दाढ़ी से समाप्त प्राण
जंगलों के खंड,
उनमें हल-बैल लिए
आकाश तकते भोले-भाले बेशुमार लोग।
मेरे कमरे की दीवार पर
टँगा है ओड़िशा।
जहाँ उजड़े बिखरे मंदिरों के खंडहर
और उन्हीं में समाया
असमर्थ हाथों का वर्तमान अँधेरा,
और धुंधलाया भविष्य।
माटी न पानी, न आकाश
कंकाल थरथराता
बुढ़िया, उदास पहाड़-सी
सहिष्णुता लिए एकटक ताकती
प्रतीक्षा में वर्षों से।
जीवों के जन्म और वहाँ से मृत्यु तक
भूख से गहरी ठनी है उसकी।
मेरे कमरे की दीवार पर
टँगा है विश्व का मानचित्र
जहाँ सैकड़ों देश, सागर, पहाड़ हैं
मगर ओड़िशा ग़ायब वहाँ!
मैं सुबकता
चीख़-चीख़ पूछता—
कहाँ है मेरा ओड़िशा
कहाँ गया?
गुम गया कहाँ, कोई बताए!!
वहाँ दिख रहा अब
केवल बूँद भर आँसू अधसूखा!!
mere kamre ki diwar par
tanga hai wishw ka manachitr
do hisse sagar aur
ek hisse mein kai desh
unke beech parichit sa bharat
rekhankit bharat ke sagar tat par
sagar jal mein—
na na adami ke ansu bhingi
kuch zamin
chuhe ke pet sa dikhta oDisha
milon pasri ujaD aur banjar dharti
kai aadhi adhuri nadiyon ka jal
jo uphan paDti barsat mein
chhote mote bandh,
kahin ek do karkhane
machchhi ke done jaise ganwon ke guchchh
beech beech kahin ek ek shahr,
chhilte chhilte bachi daDhi se samapt paran
janglon ke khanD,
unmen hal bail liye
akash takte bhole bhale beshumar log॥
mere kamre ki diwar par
tanga hai oDisha
jahan ujDe bikhre mandiron ke khanDhar
aur unhin mein samaya
asmarth hathon ka wartaman andhera,
aur dhundhlaya bhawishya॥
mati na pani, na akash
kankal thartharata
buDhiya, udas pahaD si
sahishnauta liye ektak takti
pratiksha mein warshon se
jiwon ke janm aur wahan se mirtyu tak
bhookh se gahri thani hai uski॥
mere kamre ki diwar par
tanga hai wishw ka manachitr
jahan saikDon desh, sagar, pahaD hain
main subakta
magar oDisha gayab wahan!
cheekh cheekh puchhta—
kahan hai mera oDisha
kahan gaya?
ghum gaya kahan, koi bataye!!
wahan dikh raha ab
kewal boond bhar ansu adhsukha!!
mere kamre ki diwar par
tanga hai wishw ka manachitr
do hisse sagar aur
ek hisse mein kai desh
unke beech parichit sa bharat
rekhankit bharat ke sagar tat par
sagar jal mein—
na na adami ke ansu bhingi
kuch zamin
chuhe ke pet sa dikhta oDisha
milon pasri ujaD aur banjar dharti
kai aadhi adhuri nadiyon ka jal
jo uphan paDti barsat mein
chhote mote bandh,
kahin ek do karkhane
machchhi ke done jaise ganwon ke guchchh
beech beech kahin ek ek shahr,
chhilte chhilte bachi daDhi se samapt paran
janglon ke khanD,
unmen hal bail liye
akash takte bhole bhale beshumar log॥
mere kamre ki diwar par
tanga hai oDisha
jahan ujDe bikhre mandiron ke khanDhar
aur unhin mein samaya
asmarth hathon ka wartaman andhera,
aur dhundhlaya bhawishya॥
mati na pani, na akash
kankal thartharata
buDhiya, udas pahaD si
sahishnauta liye ektak takti
pratiksha mein warshon se
jiwon ke janm aur wahan se mirtyu tak
bhookh se gahri thani hai uski॥
mere kamre ki diwar par
tanga hai wishw ka manachitr
jahan saikDon desh, sagar, pahaD hain
main subakta
magar oDisha gayab wahan!
cheekh cheekh puchhta—
kahan hai mera oDisha
kahan gaya?
ghum gaya kahan, koi bataye!!
wahan dikh raha ab
kewal boond bhar ansu adhsukha!!
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी की ओड़िया कविता-यात्रा (पृष्ठ 222)
संपादक : शंकरलाल पुरोहित
रचनाकार : नृसिंह त्रिपाठी
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.