अक्टूबर। बिना तारीख़ के अनुभव किया गया एक दिन।
और अक्टूबर।
उसकी कुर्सी ख़ाली पड़ी है। वह यहीं से गया था। सामने गुमटी पर
पक्षियों का एक जोड़ा बैठा है। अगर नाम लेकर कहना हो तो
कौओं का। धूप उनके पंखों के रंग में चमक की तरह चिपकी हुई है।
हवा चलने से धूप खिसकती है—पंखों का रंग वही है; और जो
आदमी यहाँ से गया था उसकी कुर्सी
ख़ाली पड़ी है।
ठीक तभी मैं उससे मिला था। सीढ़ियों पर। नहीं, वह एक गोल
पत्थर पर बैठा था और मैं उससे मिला था। वह चुप था ׃
पर मेरे भीतर थरथराती आवाज़ में लगातार कोई बोले जा रहा था।
वह कुर्सी लाल नहीं, नीली थी। वह आदमी रोशनी में भी
नीला था। शर्मिंदा और हँसता हुआ वह गया था। उसे
जाना ही था क्योंकि वह नीला था—ठिठुरती हवा में हौसले से
सभी कुछ सहता हुआ वह नीला हो गया था। जब मैं
उससे आलिंगनबद्ध हुआ, तब भी वह नीला था और किसी
डर से मैं उससे दूर नहीं हुआ था। इसके बावजूद
मैं उससे मिला था। सीढ़ियों पर। नहीं, वह एक पेड़ के
नीचे खड़ा था और मेरे पोरों में सहलाए जाने का एहसास था।
शायद मैं भूल रहा हूँ। अक्टूबर सिर्फ़ अक्टूबर नहीं था।
वह एक दिन था, तारीख़ थी, और महीना भी।
एक अनुभव भी था। एक मुहूर्त भी। पर उसकी कुर्सी
ख़ाली पड़ी थी। मैं उसे मिला भी था। और निश्चय ही
वह अक्टूबर था।
october bina tarikh ke anubhaw kiya gaya ek din
aur october
uski kursi khali paDi hai wo yahin se gaya tha samne gumti par
pakshiyon ka ek joDa baitha hai agar nam lekar kahna ho to
kauon ka dhoop unke pankhon ke rang mein chamak ki tarah chipki hui hai
hawa chalne se dhoop khisakti hai—pankhon ka rang wahi hai; aur jo
adami yahan se gaya tha uski kursi
khali paDi hai
theek tabhi main usse mila tha siDhiyon par nahin, wo ek gol
patthar par baitha tha aur main usse mila tha wo chup tha ׃
par mere bhitar thartharati awaz mein lagatar koi bole ja raha tha
wo kursi lal nahin, nili thi wo adami roshni mein bhi
nila tha sharminda aur hansta hua wo gaya tha use
jana hi tha kyonki wo nila tha—thithurti hawa mein hausale se
sabhi kuch sahta hua wo nila ho gaya tha jab main
usse alinganbaddh hua, tab bhi wo nila tha aur kisi
Dar se main usse door nahin hua tha iske bawjud
main usse mila tha siDhiyon par nahin, wo ek peD ke
niche khaDa tha aur mere poron mein sahlaye jane ka ehsas tha
shayad main bhool raha hoon october sirf october nahin tha
wo ek din tha, tarikh thi, aur mahina bhi
ek anubhaw bhi tha ek muhurt bhi par uski kursi
khali paDi thi main use mila bhi tha aur nishchay hi
wo october tha

स्रोत :
पुस्तक : आधा दिखता वह आदमी (पृष्ठ 93)
रचनाकार : सौमित्र मोहन
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.