हर ज़िम्मेदारी से भागने वाला
यही तर्क देता है
महानता का पैमाना नहीं
इसलिए निर्वैयक्तिकता को देखो
कथनी-करनी में अंतर की तरह
एक आदमी बायाँ हाथ देकर
दाहिने मुड़ जाता है
उसका इंडिकेटर ख़राब था कि मंशा
आत्मरक्षा में आए दिन होती हैं हत्याएँ
अनजाने एक पत्ता भी नहीं हिलता
जहाँ रात नहीं ढलती
जहाँ सूरज नहीं निकलता
बिना गए ही वहाँ जा रहे हो कवि?
ऐसा क्या पा लोगे
इस ख़राबे से अलग
उस ख़राबे में जुदा
ठोस भी होगा जो और उपयोगी भी
अपनी कल्पना के कक्ष से बाहर निकलो
देखो कल्पवृक्ष ग़ायब हो चुका है
देखोगे तो दिखेगा कि तुम्हारा व्रत टूट गया है
और दोषारोपण के लिए न असुर हैं न अप्सरा
har zimmedari se bhagne vala
yahi tark deta hai
mahanta ka paimana nahin
isliye nirvaiyaktikta ko dekho
kathni karni mein antar ki tarah
ek adami bayan haath dekar
dahine muD jata hai
uska inDiketar kharab tha ki mansha
atmaraksha mein aaye din hoti hain hatyayen
anjane ek patta bhi nahin hilta
jahan raat nahin Dhalti
jahan suraj nahin nikalta
bina ge hi vahan ja rahe ho kavi?
aisa kya pa loge
is kharabe se alag
us kharabe mein juda
thos bhi hoga jo aur upyogi bhi
apni kalpana ke kaksh se bahar niklo
dekho kalpvriksh ghayab ho chuka hai
dekhoge to dikhega ki tumhara vart toot gaya hai
aur dosharopan ke liye na asur hain na apsara
har zimmedari se bhagne vala
yahi tark deta hai
mahanta ka paimana nahin
isliye nirvaiyaktikta ko dekho
kathni karni mein antar ki tarah
ek adami bayan haath dekar
dahine muD jata hai
uska inDiketar kharab tha ki mansha
atmaraksha mein aaye din hoti hain hatyayen
anjane ek patta bhi nahin hilta
jahan raat nahin Dhalti
jahan suraj nahin nikalta
bina ge hi vahan ja rahe ho kavi?
aisa kya pa loge
is kharabe se alag
us kharabe mein juda
thos bhi hoga jo aur upyogi bhi
apni kalpana ke kaksh se bahar niklo
dekho kalpvriksh ghayab ho chuka hai
dekhoge to dikhega ki tumhara vart toot gaya hai
aur dosharopan ke liye na asur hain na apsara
स्रोत :
रचनाकार : सत्यम तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.