ढलती रात में आसमान के नीचे
ध्रुव तारे को निहारती
मेरी आँखें सप्तर्षियों पर जा टिकी
जो चारपाई के पाए से जुड़े
एक डंडे की तरह चुपचाप टिके हुए थे
हवा बार-बार आकर झकझोरती
और चाहती कि मेरा निहारना बंद हो जाए
मगर मेरी आँखें अडिग थीं
लेकिन इसकी भी तो सीमा है
जैसे इस असीम में हर किसी की सीमा है
पता नहीं कब मैं नींद में डूब गया
मगर आँखें बंद नहीं हुईं
(कहते हैं आँखें तो एक ही बार बंद होती हैं
वे हमेशा खुली रहती हैं
कभी बाहर तो कभी भीतर की ओर)
इसे पता नहीं कब हमारे पूर्वजों ने
सपने की संज्ञा दे दी
आज वही सपना मेरा दोस्त था
और मैं उसके साथ निरुद्देश्य चला जा रहा था
कि अचानक नदी किनारे पहुँच गया
मेरे और सपने के बीच कोई बात नहीं हो रही थी
वातावरण बिल्कुल शांत था
नदी का पानी भी शांत ही था
हाँ, कभी-कभी हलचल होती
जब नदी के अरार से
मिट्टी टूटकर छपाक-छपाक गिरती
और नदी में समा जाती
जैसे कोई पुराना रिश्ता हो उससे।
मैं इस दृश्य को देखने लगा
उस पल यह नदी मेरे लिए अनजानी थी
बस मेरा परिचय
उस नदी के साथ बह रहे रेत कणों से था
और टूट-टूटकर गिरनेवाली इस मिट्टी से
जो अब मुझसे ओझल हो रही थी
लेकिन इस ओझल हो रहे पल में भी
मिट्टी के टूट-टूटकर गिरने का दृश्य
मेरे भीतर अटका हुआ था
कि मेरी आँखें बाहर की ओर खुल गईं
और मेरा मित्र सपना
मुझसे विदा लेकर जा चुका था
ठीक इसी वक़्त ऊपर से एक तारा टूटकर गिर रहा था
इसी समय गिर रही थी
चाँदनी, ओस की बूँदें और पेड़ से पत्ते
इन सबको गिरते देखते हुए
मैं उस मिट्टी के गिरने को
देखना चाह रहा था
जो अब भी अँटकी थी मेरे भीतर।
Dhalti raat mein asman ke niche
dhruw tare ko niharti
meri ankhen saptarshiyon par ja tiki
jo charpai ke pae se juDe
ek DanDe ki tarah chupchap tike hue the
hawa bar bar aakar jhakjhorti
aur chahti ki mera niharna band ho jaye
magar meri ankhen aDig theen
lekin iski bhi to sima hai
jaise is asim mein har kisi ki sima hai
pata nahin kab main neend mein Doob gaya
magar ankhen band nahin huin
(kahte hain ankhen to ek hi bar band hoti hain
we hamesha khuli rahti hain
kabhi bahar to kabhi bhitar ki or)
ise pata nahin kab hamare purwjon ne
sapne ki sangya de di
aj wahi sapna mera dost tha
aur main uske sath niruddeshy chala ja raha tha
ki achanak nadi kinare pahunch gaya
mere aur sapne ke beech koi baat nahin ho rahi thi
watawarn bilkul shant tha
nadi ka pani bhi shant hi tha
han, kabhi kabhi halchal hoti
jab nadi ke arar se
mitti tutkar chhapak chhapak girti
aur nadi mein sama jati
jaise koi purana rishta ho usse
main is drishya ko dekhne laga
us pal ye nadi mere liye anjani thi
bus mera parichai
us nadi ke sath bah rahe ret kanon se tha
aur toot tutkar girnewali is mitti se
jo ab mujhse ojhal ho rahi thi
lekin is ojhal ho rahe pal mein bhi
mitti ke toot tutkar girne ka drishya
mere bhitar atka hua tha
ki meri ankhen bahar ki or khul gain
aur mera mitr sapna
mujhse wida lekar ja chuka tha
theek isi waqt upar se ek tara tutkar gir raha tha
isi samay gir rahi thi
chandni, os ki bunden aur peD se patte
in sabko girte dekhte hue
main us mitti ke girne ko
dekhana chah raha tha
jo ab bhi antaki thi mere bhitar
Dhalti raat mein asman ke niche
dhruw tare ko niharti
meri ankhen saptarshiyon par ja tiki
jo charpai ke pae se juDe
ek DanDe ki tarah chupchap tike hue the
hawa bar bar aakar jhakjhorti
aur chahti ki mera niharna band ho jaye
magar meri ankhen aDig theen
lekin iski bhi to sima hai
jaise is asim mein har kisi ki sima hai
pata nahin kab main neend mein Doob gaya
magar ankhen band nahin huin
(kahte hain ankhen to ek hi bar band hoti hain
we hamesha khuli rahti hain
kabhi bahar to kabhi bhitar ki or)
ise pata nahin kab hamare purwjon ne
sapne ki sangya de di
aj wahi sapna mera dost tha
aur main uske sath niruddeshy chala ja raha tha
ki achanak nadi kinare pahunch gaya
mere aur sapne ke beech koi baat nahin ho rahi thi
watawarn bilkul shant tha
nadi ka pani bhi shant hi tha
han, kabhi kabhi halchal hoti
jab nadi ke arar se
mitti tutkar chhapak chhapak girti
aur nadi mein sama jati
jaise koi purana rishta ho usse
main is drishya ko dekhne laga
us pal ye nadi mere liye anjani thi
bus mera parichai
us nadi ke sath bah rahe ret kanon se tha
aur toot tutkar girnewali is mitti se
jo ab mujhse ojhal ho rahi thi
lekin is ojhal ho rahe pal mein bhi
mitti ke toot tutkar girne ka drishya
mere bhitar atka hua tha
ki meri ankhen bahar ki or khul gain
aur mera mitr sapna
mujhse wida lekar ja chuka tha
theek isi waqt upar se ek tara tutkar gir raha tha
isi samay gir rahi thi
chandni, os ki bunden aur peD se patte
in sabko girte dekhte hue
main us mitti ke girne ko
dekhana chah raha tha
jo ab bhi antaki thi mere bhitar
स्रोत :
पुस्तक : उम्मीद अब भी बाक़ी है (पृष्ठ 76)
रचनाकार : रविशंकर उपाध्याय
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.