नींद के खरज पर
हँस आन बैठा है प्रियंक!
जाने किस तन्मयता से बाँचता है
प्राणों के सप्तस्वर
पंचम पर आकर टूट जाती है जो देह
खुल जाते हैं सारे बंध-अनुबंध
अनहद बरसते पावस में
माटी-माटी हो जाता है सब
आकाश को अंक बार लेता है आकाश
प्राण को प्राण
जो चल पड़ा है अदीठ-अनाम
उसे कोई नहीं अंक वारता
मन का तुरंग लाँघता जाता है जन्म-जन्माँतर
जल अगन पवन सब के सब क्षार हुए
मोतियों को चुगते हुए हँस
उतरता जाता है गहन से गहनतर
मल्हार के आलाप से ज्यूँ भ्रष्ट हुआ गँधार
आ बैठा है जीवन के श्वास-प्रश्वास के मध्य
और जिसे कोई नहीं बरतता स्वरभंग के निमित्त
गोष्पदी भर प्राण—
स्मृतियों के विशाल अश्वत्थ का जलदर्पण हुआ है
भाद्रपद के धारासार से पंकिल है पृथ्वी
रोमकूपों में समा रहा क्षार
उर्वर हो रहे खेत
धान की माँसल हरीतिमा को
नहीं धो पाती अपार जलवर्षा
इतने ही विरोधाभास हैं इस संसार के
रोप रही अक्षर
और मैं ही क्षर रही निरंतर
पुनर्नवा की भूमिवल्लरियों से पट गई है धरती
neend ke kharaj par
hans aan baitha hai priyank!
jane kis tanmayta se banchta hai
pranon ke saptasvar
pancham par aakar toot jati hai jo deh
khul jate hain sare bandh anubandh
anhad baraste pavas men
mati mati ho jata hai sab
akash ko ankabar leta hai akash
praan ko praan
jo chal paDa hai adith anam
use koi nahin ankavarata
man ka turang langhta jata hai janm janmantar
jal agan pavan sab ke sab kshaar hue
motiyon ko chugte hue hans
utarta jata hai gahan se gahantar
malhar ke alap se jyoon bhrasht hua gandhar
aa baitha hai jivan ke shvaas prashvas ke madhya
aur jise koi nahin baratta svarbhang ke nimitt
goshpdi bhar praan—
smritiyon ke vishal ashvatth ka jaldarpan hua hai
bhadrapad ke dharasar se pankil hai prithvi
romkupon mein sama raha kshaar
urvar ho rahe khet
dhaan ki mansal haritima ko
nahin dho pati apar jalvarsha
itne hi virodhabhas hain is sansar ke
rop rahi akshar
aur main hi kshar rahi nirantar
punarnava ki bhumivallariyon se pat gai hai dharti
neend ke kharaj par
hans aan baitha hai priyank!
jane kis tanmayta se banchta hai
pranon ke saptasvar
pancham par aakar toot jati hai jo deh
khul jate hain sare bandh anubandh
anhad baraste pavas men
mati mati ho jata hai sab
akash ko ankabar leta hai akash
praan ko praan
jo chal paDa hai adith anam
use koi nahin ankavarata
man ka turang langhta jata hai janm janmantar
jal agan pavan sab ke sab kshaar hue
motiyon ko chugte hue hans
utarta jata hai gahan se gahantar
malhar ke alap se jyoon bhrasht hua gandhar
aa baitha hai jivan ke shvaas prashvas ke madhya
aur jise koi nahin baratta svarbhang ke nimitt
goshpdi bhar praan—
smritiyon ke vishal ashvatth ka jaldarpan hua hai
bhadrapad ke dharasar se pankil hai prithvi
romkupon mein sama raha kshaar
urvar ho rahe khet
dhaan ki mansal haritima ko
nahin dho pati apar jalvarsha
itne hi virodhabhas hain is sansar ke
rop rahi akshar
aur main hi kshar rahi nirantar
punarnava ki bhumivallariyon se pat gai hai dharti
स्रोत :
रचनाकार : चंचला पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.