हम दीवानों की क्या हस्ती,
हैं आज यहाँ, कल वहाँ चले,
मस्ती का आलम साथ चला,
हम धूल उड़ाते जहाँ चले।
आए बनकर उल्लास अभी,
आँसू बनकर बह चले अभी,
सब कहते ही रह गए, अरे,
तुम कैसे आए, कहाँ चले?
किस ओर चले? यह मत पूछो,
चलना है, बस इसलिए चले,
जग से उसका कुछ लिए चले,
जग को अपना कुछ दिए चले,
दो बात कही, दो बात सुनी;
कुछ हँसे और फिर कुछ रोए।
छककर सुख-दु:ख के घूँटों को
हम एक भाव से पिए चले।
हम भिखमंगों की दुनिया में,
स्वच्छंद लुटाकर प्यार चले,
हम एक निसानी-सी उर पर,
ले असफलता का भार चले।
अब अपना और पराया क्या?
आबाद रहें रुकने वाले!
हम स्वयं बँधे थे और स्वयं
हम अपने बंधन तोड़ चले।
hum divanon ki kya hasti,
hain aaj yahan, kal vahan chale,
masti ka aalam saath chala,
hum dhool uDate jahan chale.
aaye bankar ullaas abhi,
ansu bankar bah chale abhi,
sab kahte hi rah ge, are,
tum kaise aaye, kahan chale?
kis or chale? ye mat puchho,
chalna hai, bas isliye chale,
jag se uska kuch liye chale,
jag ko apna kuch diye chale,
do baat kahi, do baat suni;
kuch hanse aur phir kuch roe.
chhakkar sukh duhakh ke ghunton ko
hum ek bhaav se piye chale.
hum bhikhmangon ki duniya mein,
svachchhand lutakar pyaar chale,
hum ek nisani si ur par,
le asphalta ka bhaar chale.
ab apna aur paraya kyaa?
abad rahen rukne vale!
hum svayan bandhe the aur svyan
hum apne bandhan toD chale.
hum divanon ki kya hasti,
hain aaj yahan, kal vahan chale,
masti ka aalam saath chala,
hum dhool uDate jahan chale.
aaye bankar ullaas abhi,
ansu bankar bah chale abhi,
sab kahte hi rah ge, are,
tum kaise aaye, kahan chale?
kis or chale? ye mat puchho,
chalna hai, bas isliye chale,
jag se uska kuch liye chale,
jag ko apna kuch diye chale,
do baat kahi, do baat suni;
kuch hanse aur phir kuch roe.
chhakkar sukh duhakh ke ghunton ko
hum ek bhaav se piye chale.
hum bhikhmangon ki duniya mein,
svachchhand lutakar pyaar chale,
hum ek nisani si ur par,
le asphalta ka bhaar chale.
ab apna aur paraya kyaa?
abad rahen rukne vale!
hum svayan bandhe the aur svyan
hum apne bandhan toD chale.
Videos This video is playing from YouTube
भगवतीचरण वर्मा
स्रोत :
पुस्तक : वसंत (भाग-3) (पृष्ठ 16)
रचनाकार : भगवतीचरण वर्मा
प्रकाशन : एन.सी. ई.आर.टी
संस्करण : 2022
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.