जो अँधेरी रात में भभके अचानक
चमक से चकचौंध भर दे
मैं निरंतर पास आता अग्निध्वज हूँ
कड़कड़ाएँ रीढ़
बूढ़ी रूढ़ियों की
झुर्रियाँ काँपें
घुनी अनुभूतियों की
उसी नई आवाज़ की उठती गरज हूँ।
जब उलझ जाएँ
मनस गाँठें घनेरी
बोध की हो जाएँ
सब गलियाँ अँधेरी
तर्क और विवेक पर
बेसूझ जाले
मढ़ चुके जब
वैर रत परिपाटियों की
अस्मि ढेरी
जब न युग के पास रहे उपाय तीजा
तब अछूती मंज़िलों की ओर
मैं उठता क़दम हूँ।
जब कि समझौता
जीने की निपट अनिवार्यता हो
परम अस्वीकार की
झुकने न वाली मैं क़सम हूँ।
हो चुके हैं
सभी प्रश्नों के सभी उत्तर पुराने
खोखले हैं
व्यक्ति और समूह वाले
आत्मविज्ञापित ख़जाने
पड़ गए झूठे समन्वय
रह न सका तटस्थ कोई
वे सुरक्षा की नक़ाबें
मार्ग मध्यम के बहाने
हूँ प्रताड़ित
क्योंकि प्रश्नों के नए उत्तर दिए हैं
है परम अपराध
क्योंकि मैं लीक से इतना अलग हूँ।
सब छिपाते थे सच्चाई
जब तुरत ही सिद्धियों से
असलियत को स्थगित करते
भाग जाते उत्तरों से
कला थी सुविधापरस्ती
मूल्य केवल मस्लहत थे
मूर्ख थी निष्ठा
प्रतिष्ठा सुलभ थी आडंबरों से
क्या करूँ
उपलब्धि की जो सहज तीखी आँच मुझमें
क्या करूँ
जो शंभु धनु टूटा तुम्हारा
तोड़ने को मैं विवश हूँ।
jo andheri raat mein bhabhke achanak
chamak se chakchaundh bhar de
main nirantar pas aata agnidhwaj hoon
kaDakDayen reeDh
buDhi ruDhiyon ki
jhurriyan kanpen
ghuni anubhutiyon ki
usi nai awaz ki uthti garaj hoon
jab ulajh jayen
manas ganthen ghaneri
bodh ki ho jayen
sab galiyan andheri
tark aur wiwek par
besujh jale
maDh chuke jab
wair rat paripatiyon ki
asmi Dheri
jab na yug ke pas rahe upay tija
tab achhuti manzilon ki or
main uthta qadam hoon
jab ki samjhauta
jine ki nipat aniwaryata ho
param aswikar ki
jhukne na wali main qas hoon
ho chuke hain
sabhi prashnon ke sabhi uttar purane
khokhle hain
wekti aur samuh wale
atmwigyapit khajane
paD gaye jhuthe samanway
rah na saka tatasth koi
we suraksha ki naqaben
marg maddhyam ke bahane
hoon prataDit
kyonki prashnon ke nae uttar diye hain
hai param apradh
kyonki main leak se itna alag hoon
sab chhipate the sachchai
jab turat hi siddhiyon se
asliyat ko sthagit karte
bhag jate uttron se
kala thi suwidhaprasti
mooly kewal maslahat the
moorkh thi nishtha
pratishtha sulabh thi aDambron se
kya karun
uplabdhi ki jo sahj tikhi anch mujhmen
kya karun
jo shambhu dhanu tuta tumhara
toDne ko main wiwash hoon
jo andheri raat mein bhabhke achanak
chamak se chakchaundh bhar de
main nirantar pas aata agnidhwaj hoon
kaDakDayen reeDh
buDhi ruDhiyon ki
jhurriyan kanpen
ghuni anubhutiyon ki
usi nai awaz ki uthti garaj hoon
jab ulajh jayen
manas ganthen ghaneri
bodh ki ho jayen
sab galiyan andheri
tark aur wiwek par
besujh jale
maDh chuke jab
wair rat paripatiyon ki
asmi Dheri
jab na yug ke pas rahe upay tija
tab achhuti manzilon ki or
main uthta qadam hoon
jab ki samjhauta
jine ki nipat aniwaryata ho
param aswikar ki
jhukne na wali main qas hoon
ho chuke hain
sabhi prashnon ke sabhi uttar purane
khokhle hain
wekti aur samuh wale
atmwigyapit khajane
paD gaye jhuthe samanway
rah na saka tatasth koi
we suraksha ki naqaben
marg maddhyam ke bahane
hoon prataDit
kyonki prashnon ke nae uttar diye hain
hai param apradh
kyonki main leak se itna alag hoon
sab chhipate the sachchai
jab turat hi siddhiyon se
asliyat ko sthagit karte
bhag jate uttron se
kala thi suwidhaprasti
mooly kewal maslahat the
moorkh thi nishtha
pratishtha sulabh thi aDambron se
kya karun
uplabdhi ki jo sahj tikhi anch mujhmen
kya karun
jo shambhu dhanu tuta tumhara
toDne ko main wiwash hoon
स्रोत :
पुस्तक : तार सप्तक (पृष्ठ 168)
संपादक : अज्ञेय
रचनाकार : गिरिजाकुमार माथुर
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.