जैसे खिड़की पर एक दिन
लौट आती है चिड़िया
जैसे बीज में लौटता है एक दिन बीज—
फूलों को याद करते हुए
वैसे ही लौट रहा है सर्दियों का मौसम
कुहरे के कंबल में ठिठुरता
स्मृतियों से लिपटा और उन्हीं की तरह धुँधला
लौट रहा है सर्दियों का मौसम।
कब तक रहा जा सकता है
ऊब और बेचैनी से लिपटकर
हवा में धूप की तरह घुलकर
घूमा जा सकता है शहर
हाथों में बीज लिए फैला जा सकता है
धरती पर हरियाली की तरह
जमा जा सकता है काइयों की तरह—
किसी कूप के इर्द-गिर्द?
जैसे लौट रहा है सर्दियों का मौसम
वैसे ही लौटा जा सकता है
जैसे खिड़की पर लौट रही है चिड़िया
जैसे स्मृतियों में उतर रही है धूप
जैसे रक्त में घुल रही है आग
जैसे मनुष्य के भीतर लौट रहा है मनुष्य!
jaise khiDki par ek din
laut aati hai chiDiya
jaise beej mein lautta hai ek din beej—
phulon ko yaad karte hue
waise hi laut raha hai sardiyon ka mausam
kuhre ke kambal mein thithurta
smritiyon se lipta aur unhin ki tarah dhundhla
laut raha hai sardiyon ka mausam
kab tak raha ja sakta hai
ub aur bechaini se lipatkar
hawa mein dhoop ki tarah ghulkar
ghuma ja sakta hai shahr
hathon mein beej liye phaila ja sakta hai
dharti par hariyali ki tarah
jama ja sakta hai kaiyon ki tarah—
kisi koop ke ird gird?
jaise laut raha hai sardiyon ka mausam
waise hi lauta ja sakta hai
jaise khiDki par laut rahi hai chiDiya
jaise smritiyon mein utar rahi hai dhoop
jaise rakt mein ghul rahi hai aag
jaise manushya ke bhitar laut raha hai manushya!
jaise khiDki par ek din
laut aati hai chiDiya
jaise beej mein lautta hai ek din beej—
phulon ko yaad karte hue
waise hi laut raha hai sardiyon ka mausam
kuhre ke kambal mein thithurta
smritiyon se lipta aur unhin ki tarah dhundhla
laut raha hai sardiyon ka mausam
kab tak raha ja sakta hai
ub aur bechaini se lipatkar
hawa mein dhoop ki tarah ghulkar
ghuma ja sakta hai shahr
hathon mein beej liye phaila ja sakta hai
dharti par hariyali ki tarah
jama ja sakta hai kaiyon ki tarah—
kisi koop ke ird gird?
jaise laut raha hai sardiyon ka mausam
waise hi lauta ja sakta hai
jaise khiDki par laut rahi hai chiDiya
jaise smritiyon mein utar rahi hai dhoop
jaise rakt mein ghul rahi hai aag
jaise manushya ke bhitar laut raha hai manushya!
स्रोत :
रचनाकार : रवि प्रकाश
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.