हवा के स्तनों से तुहिन झर रहा है
आकाश का हृदय भीग रहा है
जेबकतरे दु:खों ने
भोले सुखों की गठरी में
चीरा लगा दिया है
अविरत उपेक्षाओं ने
संकोची आत्माओं को
जकड़ लिया है
अजन्मे फूल व्याकुल हैं
उदास चिड़िया स्वप्न में
तड़फड़ा रही है
नींद एक निष्प्राण धुंध में
खो गई है
हर साँस
एक चौकन्नी जाग है
सियारों का झुंड
वर्षों से घात लगाए दौड़ रहा है
और मैं निर्भय हूँ
जंगल में शेर की तरह
मायावी मकड़ियाँ सत्याग्रही तितलियों को
अहिंसक हत्या का अभ्यास करा रही हैं
आध्यात्मिक केकड़े भौतिकवादी बगुलों को
ब्रह्म-जीव का सरस भेद बता रहे हैं
रक्तसरोवर शुभ्र कुमुदिनी खिली हुई है
निविड तमस में दिन की आभा मिली हुई है
कुछ कमीनों के कारण
कुछ शहरों को छोड़ दिया मैंने
पर यह धरती तो नहीं छोड़ दूँगा
जो मेरी सच्ची परछाईं है
उनका झूठा शोर थमेगा आइने में चेहरों से
यहीं लडूँगा यहीं मरूँगा प्यार करूँगा अपनों से
सूखी हुई नदी की देह पर
खरोंचों के निशान हैं
और मैं डूब रहा हूँ
टूटी हुई नाव की तरह
मुझे लापरवाह साँस चाहिए
नींद की राह बताने वाला राग चाहिए
आज़ाद चिड़िया वाला स्वप्न चाहिए
गाती हुई नदी और
सुनती हुई नाव चाहिए
कोमलता और करुणा के लिए
दृढ़ अनंत आधार चाहिए
ठिठुरती हुई रूहों के लिए
थोड़ी-थोड़ी आग चाहिए
मैंने पर्याप्त फूल खिला लिए हैं
मुझे तुम्हारा हाथ चाहिए
hawa ke stnon se tuhin jhar raha hai
akash ka hirdai bheeg raha hai
jebakatre duhkhon ne
bhole sukhon ki gathri mein
chira laga diya hai
awirat upekshaon ne
sankochi atmaon ko
jakaD liya hai
ajanme phool wyakul hain
udas chiDiya swapn mein
taDphaDa rahi hai
neend ek nishpran dhundh mein
kho gai hai
har sans
ek chaukanni jag hai
siyaron ka jhunD
warshon se ghat lagaye dauD raha hai
aur main nirbhay hoon
jangal mein sher ki tarah
mayawi makaDiyan satyagrahi titaliyon ko
ahinsak hattya ka abhyas kara rahi hain
adhyatmik kekDe bhautikwadi bagulon ko
brahm jeew ka saras bhed bata rahe hain
raktasrowar shubhr kumudini khili hui hai
niwiD tamas mein din ki aabha mili hui hai
kuch kaminon ke karan
kuch shahron ko chhoD diya mainne
par ye dharti to nahin chhoD dunga
jo meri sachchi parchhain hai
unka jhutha shor thamega aine mein chehron se
yahin laDunga yahin marunga pyar karunga apnon se
sukhi hui nadi ki deh par
kharonchon ke nishan hain
aur main Doob raha hoon
tuti hui naw ki tarah
mujhe laparwah sans chahiye
neend ki rah batane wala rag chahiye
azad chiDiya wala swapn chahiye
gati hui nadi aur
sunti hui naw chahiye
komalta aur karuna ke liye
driDh anant adhar chahiye
thithurti hui ruhon ke liye
thoDi thoDi aag chahiye
mainne paryapt phool khila liye hain
mujhe tumhara hath chahiye
hawa ke stnon se tuhin jhar raha hai
akash ka hirdai bheeg raha hai
jebakatre duhkhon ne
bhole sukhon ki gathri mein
chira laga diya hai
awirat upekshaon ne
sankochi atmaon ko
jakaD liya hai
ajanme phool wyakul hain
udas chiDiya swapn mein
taDphaDa rahi hai
neend ek nishpran dhundh mein
kho gai hai
har sans
ek chaukanni jag hai
siyaron ka jhunD
warshon se ghat lagaye dauD raha hai
aur main nirbhay hoon
jangal mein sher ki tarah
mayawi makaDiyan satyagrahi titaliyon ko
ahinsak hattya ka abhyas kara rahi hain
adhyatmik kekDe bhautikwadi bagulon ko
brahm jeew ka saras bhed bata rahe hain
raktasrowar shubhr kumudini khili hui hai
niwiD tamas mein din ki aabha mili hui hai
kuch kaminon ke karan
kuch shahron ko chhoD diya mainne
par ye dharti to nahin chhoD dunga
jo meri sachchi parchhain hai
unka jhutha shor thamega aine mein chehron se
yahin laDunga yahin marunga pyar karunga apnon se
sukhi hui nadi ki deh par
kharonchon ke nishan hain
aur main Doob raha hoon
tuti hui naw ki tarah
mujhe laparwah sans chahiye
neend ki rah batane wala rag chahiye
azad chiDiya wala swapn chahiye
gati hui nadi aur
sunti hui naw chahiye
komalta aur karuna ke liye
driDh anant adhar chahiye
thithurti hui ruhon ke liye
thoDi thoDi aag chahiye
mainne paryapt phool khila liye hain
mujhe tumhara hath chahiye
स्रोत :
रचनाकार : सुघोष मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.