प्रेम में
नदी
किनारों पर
अतिक्रमण नहीं करती
न ही किनारे
बटोरते हैं अपनी अंजुरी में
नदी का कोई भी हिस्सा
एक दूसरे को पाने की ज़िद
न हो अगर
तो दो दुनियाएँ
कितनी सहजता से
फल-फूल सकती हैं
न किनारों को अपने डूबने का डर
और न नदी को अपने सूखने का
पूरे विश्वास से
कंधे से कंधा टकराते
वे चलते रहते हैं
साथ-साथ
तब तक,
जब तक
दोनों मिल नहीं जाते
किसी अथाह समंदर में
इस दुनिया की
सबसे ख़ूबसूरत जगह होती होगी वह
जहाँ मिलते होंगे
लंबे सफ़र में निहित
दो मुसाफ़िर
नदी और किनारा
मैं और आप
prem mein
nadi
kinaron par
atikramn nahin karti
na hi kinare
batorte hain apni anjuri mein
nadi ka koi bhi hissa
ek dusre ko pane ki zid
na ho agar
to do duniyayen
kitni sahajta se
phal phool sakti hain
na kinaron ko apne Dubne ka Dar
aur na nadi ko apne sukhne ka
pure wishwas se
kandhe se kandha takrate
we chalte rahte hain
sath sath
tab tak,
jab tak
donon mil nahin jate
kisi athah samandar mein
is duniya ki
sabse khubsurat jagah hoti hogi wo
jahan milte honge
lambe safar mein nihit
do musafi
nadi aur kinara
main aur aap
prem mein
nadi
kinaron par
atikramn nahin karti
na hi kinare
batorte hain apni anjuri mein
nadi ka koi bhi hissa
ek dusre ko pane ki zid
na ho agar
to do duniyayen
kitni sahajta se
phal phool sakti hain
na kinaron ko apne Dubne ka Dar
aur na nadi ko apne sukhne ka
pure wishwas se
kandhe se kandha takrate
we chalte rahte hain
sath sath
tab tak,
jab tak
donon mil nahin jate
kisi athah samandar mein
is duniya ki
sabse khubsurat jagah hoti hogi wo
jahan milte honge
lambe safar mein nihit
do musafi
nadi aur kinara
main aur aap
स्रोत :
रचनाकार : कृतिका किरण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.