जीवन में किसी को ‘हाँ’ कहने से
कहीं अधिक मुश्किल होता है ‘ना’ कहना
इतिहास गवाह है कि
‘ना’ कहने वालों ने हर ज़माने में
तमाम ज़हमतें उठाईं
दर-दर की ठोकरें खाईं
फिर भी झुके नहीं ऐसे लोग किसी के सामने
कहा वही
जो लगा सही
‘ना’ दुनिया का साफ़-सुथरा
और साहसिक वक़्तव्य है
जिसे बोलना तस्दीक़ करता है यह
कि जब तक दुनिया में रहेगा यह ‘ना’
प्रतिरोध का माद्दा बचा रहेगा इस धरती पर
तानाशाह जब भूल जाते हैं सुनने की आदत
‘ना’ की एक अस्फुट-सी ध्वनि
उन्हें बेइंतिहा परेशान कर देती है
‘ना’ की एक आवाज़
सर्वसम्मति की हज़ार-हज़ार आवाज़ों से
बिल्कुल अलहदा दिखाई पड़ती है
ऐसे में जबकि ख़त्म होती जा रही है
इस दुनिया से प्रतिरोध की तहजीब ही
आदमी की ताक़त है यह ‘ना’
जिसे नष्ट नहीं कर पाए
एक से बढ़कर एक मारक हथियार भी
अगर बचाए रखनी है इस धरती पर इंसानियत
तो बचानी होगी हमें अपने पास
सख़्ती से ‘ना’ कहने की तहज़ीब
jiwan mein kisi ko ‘han’ kahne se
kahin adhik mushkil hota hai ‘na’ kahna
itihas gawah hai ki
‘na’ kahne walon ne har zamane mein
tamam zahamten uthain
dar dar ki thokren khain
phir bhi jhuke nahin aise log kisi ke samne
kaha wahi
jo laga sahi
‘na’ duniya ka saf suthra
aur sahasik waqtawya hai
jise bolna tasdiq karta hai ye
ki jab tak duniya mein rahega ye ‘na’
pratirodh ka madda bacha rahega is dharti par
tanashah jab bhool jate hain sunne ki aadat
‘na’ ki ek asphut si dhwani
unhen beintiha pareshan kar deti hai
‘na’ ki ek awaz
sarwasammati ki hazar hazar awazon se
bilkul alahda dikhai paDti hai
aise mein jabki khatm hoti ja rahi hai
is duniya se pratirodh ki tahjib hi
adami ki taqat hai ye ‘na’
jise nasht nahin kar pae
ek se baDhkar ek marak hathiyar bhi
agar bachaye rakhni hai is dharti par insaniyat
to bachani hogi hamein apne pas
sakhti se ‘na’ kahne ki tahazib
jiwan mein kisi ko ‘han’ kahne se
kahin adhik mushkil hota hai ‘na’ kahna
itihas gawah hai ki
‘na’ kahne walon ne har zamane mein
tamam zahamten uthain
dar dar ki thokren khain
phir bhi jhuke nahin aise log kisi ke samne
kaha wahi
jo laga sahi
‘na’ duniya ka saf suthra
aur sahasik waqtawya hai
jise bolna tasdiq karta hai ye
ki jab tak duniya mein rahega ye ‘na’
pratirodh ka madda bacha rahega is dharti par
tanashah jab bhool jate hain sunne ki aadat
‘na’ ki ek asphut si dhwani
unhen beintiha pareshan kar deti hai
‘na’ ki ek awaz
sarwasammati ki hazar hazar awazon se
bilkul alahda dikhai paDti hai
aise mein jabki khatm hoti ja rahi hai
is duniya se pratirodh ki tahjib hi
adami ki taqat hai ye ‘na’
jise nasht nahin kar pae
ek se baDhkar ek marak hathiyar bhi
agar bachaye rakhni hai is dharti par insaniyat
to bachani hogi hamein apne pas
sakhti se ‘na’ kahne ki tahazib
स्रोत :
रचनाकार : संतोष कुमार चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.