एक दिन
हम उन पापों के लिए
नहीं पछताएँगे जो हमने किए
उन पापों के लिए हम ज़रूर पछताएँगे
जो हमने नहीं किए
जबकि बार-बार चाहते थे करना
एक दिन
हम उन सभी भूलों और ग़लतियों को भूल जाएँगे
जो हमसे जाने-अनजाने हुईं
वे भूलें और गलतियाँ याद रह जाएँगी
जो हम करना चाहते थे
और नहीं कर पाए
एक दिन
जब हम हिसाब लगाने बैठेंगे
एकबारगी उदास हो जाएँगे यह देखकर
कि कितनी ग़ैर-ज़रूरी चीज़ों में समय गँवाते रहे
तब हमारे पास
बहुत थोड़ा समय बचा होगा
बचा हुआ समय जितना होगा
उससे बहुत कम दिखेगा
और हम डर जाएँगे
एक दिन
हम उन लोगों के लिए तो रोएँगे ही
जो जीवन भर साथ रहे
उन लोगों के लिए कुछ ज़्यादा रोएँगे
जो जीवन की शुरुआत में ही बिछड़ गए
और कभी नहीं मिले
एक दिन
हम सिर्फ़ प्रेम के लिए तरसेंगे
जीवन भर की संचित पूँजी नहीं भर पाएगी
भीतर का खालीपन
धर्म, ईश्वर और इनके इर्द-गिर्द खड़े सारे नैतिक उपदेश
निष्फल सिद्ध हो जाएँगे
वह दिन
जीवन की व्यर्थता के बोध का होगा
उस दिन
हम सारे द्वंद्वों के पार हो जाएँगे
छँट जाएँगे हमारी आदिम चेतना पर छाए
भ्रम और धारणाओं के मटमैले बादल
गिर जाएँगी मान्यताओं की सारी दीवारें
जो मनुष्य से मनुष्य के बीच
भेद और दूरी रचती हैं
हर भेद, हर दूरी
प्रेम के विरुद्ध सत्ता की साज़िश है
एक दिन
हम ज़रूर देख लेंगे यह सच
सच को सच की तरह देखना
हमें तृप्त करेगा
उस दिन
हम अपनी बनाई हुई
ईश्वर की तस्वीरों से अपने हस्ताक्षर पोंछ देंगे
वही हमारी मुक्ति का दिन होगा
ek din
hum un papon ke liye
nahin pachhtayenge jo hamne kiye
un papon ke liye hum zarur pachhtayenge
jo hamne nahin kiye
jabki baar baar chahte the karna
ek din
hum un sabhi bhulon aur ghalatiyon ko bhool jayenge
jo hamse jane anjane huin
ve bhulen aur galatiyan yaad rah jayengi
jo hum karna chahte the
aur nahin kar pae
ek din
jab hum hisab lagane baithenge
ekbargi udaas ho jayenge ye dekhkar
ki kitni ghair zaruri chizon mein samay ganvate rahe
tab hamare paas
bahut thoDa samay bacha hoga
bacha hua samay jitna hoga
usse bahut kam dikhega
aur hum Dar jayenge
ek din
hum un logon ke liye to roenge hi
jo jivan bhar saath rahe
un logon ke liye kuch zyada roenge
jo jivan ki shuruat mein hi bichhaD ge
aur kabhi nahin mile
ek din
hum sirf prem ke liye tarsenge
jivan bhar ki sanchit punji nahin bhar payegi
bhitar ka khalipan
dharm, iishvar aur inke ird gird khaDe sare naitik updesh
nishphal siddh ho jayenge
wo din
jivan ki vyarthata ke bodh ka hoga
us din
hum sare dvandvon ke paar ho jayenge
chhant jayenge hamari aadim chetna par chhaye
bhram aur dharnaon ke matamaile badal
gir jayengi manytaon ki sari divaren
jo manushya se manushya ke beech
bhed aur duri rachti hain
har bhed, har duri
prem ke viruddh satta ki sazish hai
ek din
hum zarur dekh lenge ye sach
sach ko sach ki tarah dekhana
hamein tript karega
us din
hum apni banai hui
iishvar ki tasviron se apne hastakshar ponchh denge
vahi hamari mukti ka din hoga
ek din
hum un papon ke liye
nahin pachhtayenge jo hamne kiye
un papon ke liye hum zarur pachhtayenge
jo hamne nahin kiye
jabki baar baar chahte the karna
ek din
hum un sabhi bhulon aur ghalatiyon ko bhool jayenge
jo hamse jane anjane huin
ve bhulen aur galatiyan yaad rah jayengi
jo hum karna chahte the
aur nahin kar pae
ek din
jab hum hisab lagane baithenge
ekbargi udaas ho jayenge ye dekhkar
ki kitni ghair zaruri chizon mein samay ganvate rahe
tab hamare paas
bahut thoDa samay bacha hoga
bacha hua samay jitna hoga
usse bahut kam dikhega
aur hum Dar jayenge
ek din
hum un logon ke liye to roenge hi
jo jivan bhar saath rahe
un logon ke liye kuch zyada roenge
jo jivan ki shuruat mein hi bichhaD ge
aur kabhi nahin mile
ek din
hum sirf prem ke liye tarsenge
jivan bhar ki sanchit punji nahin bhar payegi
bhitar ka khalipan
dharm, iishvar aur inke ird gird khaDe sare naitik updesh
nishphal siddh ho jayenge
wo din
jivan ki vyarthata ke bodh ka hoga
us din
hum sare dvandvon ke paar ho jayenge
chhant jayenge hamari aadim chetna par chhaye
bhram aur dharnaon ke matamaile badal
gir jayengi manytaon ki sari divaren
jo manushya se manushya ke beech
bhed aur duri rachti hain
har bhed, har duri
prem ke viruddh satta ki sazish hai
ek din
hum zarur dekh lenge ye sach
sach ko sach ki tarah dekhana
hamein tript karega
us din
hum apni banai hui
iishvar ki tasviron se apne hastakshar ponchh denge
vahi hamari mukti ka din hoga
स्रोत :
रचनाकार : कुंदन सिद्धार्थ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.