मुझे ले लो दोने की तरह
मेरा उपयोग करो
रूमाल की तरह रख लो
अपनी जेब में
मैं तुम्हारे दरवाज़े की सिटकनी हो सकता हूँ
तुम्हारी शर्ट का बटन
तुम्हारी गली में नीम का पेड़
मैं तुम्हारी पुकार हो सकता हूँ
स्वप्न के बीच
वह खिड़की जहाँ से हवा
तुम्हारे घर आती है
मुझे ले लो मुझे बिना बताए
मैं नहीं जानना चाहता
कब ले लिया गया मुझको
कब बना मैं तुम्हारी डाक का डिब्बा
तुम्हारी हल्दी और नमक
तुम्हारा परदा तुम्हारे सात परदों में एक
तुम्हारा सुई-तागा
इस सर्दी
मैं तुम्हारा कोट हो सकता हूँ
धुला और तहा कर रखा
पहनने के लिए तैयार
mujhe le lo done ki tarah
mera upyog karo
rumal ki tarah rakh lo
apni jeb mein
main tumhare darwaze ki sitakni ho sakta hoon
tumhari shirt ka button
tumhari gali mein neem ka peD
main tumhari pukar ho sakta hoon
swapn ke beech
wo khiDki jahan se hawa
tumhare ghar aati hai
mujhe le lo mujhe bina bataye
main nahin janna chahta
kab le liya gaya mujhko
kab bana main tumhari Dak ka Dibba
tumhari haldi aur namak
tumhara parda tumhare sat pardon mein ek
tumhara sui taga
is sardi
main tumhara coat ho sakta hoon
dhula aur taha kar rakha
pahanne ke liye taiyar
le lo mujhe jaisa bhi man ho
mujhe le lo done ki tarah
mera upyog karo
rumal ki tarah rakh lo
apni jeb mein
main tumhare darwaze ki sitakni ho sakta hoon
tumhari shirt ka button
tumhari gali mein neem ka peD
main tumhari pukar ho sakta hoon
swapn ke beech
wo khiDki jahan se hawa
tumhare ghar aati hai
mujhe le lo mujhe bina bataye
main nahin janna chahta
kab le liya gaya mujhko
kab bana main tumhari Dak ka Dibba
tumhari haldi aur namak
tumhara parda tumhare sat pardon mein ek
tumhara sui taga
is sardi
main tumhara coat ho sakta hoon
dhula aur taha kar rakha
pahanne ke liye taiyar
le lo mujhe jaisa bhi man ho
स्रोत :
रचनाकार : सत्यपाल सहगल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.