जन्म और मृत्यु के बीच
बहुत गहरी ऊबड़-खाबड़
सुंदर और ख़तरनाक
हरहराती हुई नदी बहती है
सबने अपने-अपने तिनके
सँभाल रखे हैं जो किसी के कहे अनुसार
उन्हें किसी अँधेरे में
किसी नदी में डूबने से बचा लेंगे
पत्थर पर लिखे सारे नाम
हवाएँ एक रोज़ उड़ा ले जाएँगी
बारिशें उन्हें धुल देंगी एक दिन
सारे ग्रंथ और उनके नियम
बढ़ियाई नदी को बाँध नहीं सकेंगे
जीवन सीमाओं में बँधी-खुदी मापित नहर नहीं है
सारे तिनके मृग-मरीचिका हैं
जो हमें कहीं नहीं ले जाते
पुल का दूसरा छोर
हमारी आँखें कभी नहीं देख सकेंगी
नाव में जितने पत्थर होंगे
पतवार खींचना उतना ही पीड़ादायक होगा
अंतत: यह भी कि नदी के दूसरे छोर पर
किसी को कुछ भी ले जाने की अनुमति नहीं होगी
अपनी आँखें-हाथ-पैर कुछ भी नहीं
सारे पत्थर डुबो दिए जाएँगे
और जिन हृदयों में बने रहने के लिए
आपने सारे जतन किए
उनकी नावें आगे बढ़ निकलेंगी।
janm aur mirtyu ke beech
bahut gahri ubaD khabaD
sundar aur khatarnak
harahrati hui nadi bahti hai
sabne apne apne tinke
sanbhal rakhe hain jo kisi ke kahe anusar
unhen kisi andhere mein
kisi nadi mein Dubne se bacha lenge
patthar par likhe sare nam
hawayen ek roz uDa le jayengi
barishen unhen dhul dengi ek din
sare granth aur unke niyam
baDhiyai nadi ko bandh nahin sakenge
jiwan simaon mein bandhi khudi mapit nahr nahin hai
sare tinke mrig marichika hain
jo hamein kahin nahin le jate
pul ka dusra chhor
hamari ankhen kabhi nahin dekh sakengi
naw mein jitne patthar honge
patwar khinchna utna hi piDadayak hoga
anttah ye bhi ki nadi ke dusre chhor par
kisi ko kuch bhi le jane ki anumti nahin hogi
apni ankhen hath pair kuch bhi nahin
sare patthar Dubo diye jayenge
aur jin hridyon mein bane rahne ke liye
apne sare jatan kiye
unki nawen aage baDh niklengi
janm aur mirtyu ke beech
bahut gahri ubaD khabaD
sundar aur khatarnak
harahrati hui nadi bahti hai
sabne apne apne tinke
sanbhal rakhe hain jo kisi ke kahe anusar
unhen kisi andhere mein
kisi nadi mein Dubne se bacha lenge
patthar par likhe sare nam
hawayen ek roz uDa le jayengi
barishen unhen dhul dengi ek din
sare granth aur unke niyam
baDhiyai nadi ko bandh nahin sakenge
jiwan simaon mein bandhi khudi mapit nahr nahin hai
sare tinke mrig marichika hain
jo hamein kahin nahin le jate
pul ka dusra chhor
hamari ankhen kabhi nahin dekh sakengi
naw mein jitne patthar honge
patwar khinchna utna hi piDadayak hoga
anttah ye bhi ki nadi ke dusre chhor par
kisi ko kuch bhi le jane ki anumti nahin hogi
apni ankhen hath pair kuch bhi nahin
sare patthar Dubo diye jayenge
aur jin hridyon mein bane rahne ke liye
apne sare jatan kiye
unki nawen aage baDh niklengi
स्रोत :
रचनाकार : दीपक जायसवाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.