चींटियाँ अंडे उठाकर जा रही हैं,
और चींटियाँ नीड़ को चारा दबाए,
थान पर बछड़ा रँभाने लग गया है
टकटकी सूने विजन पथ पर लगाए,
थाम आँचल, थका बालक रो उठा है,
है खड़ी माँ शीश का गट्ठर गिराए,
बाँह दो चुमकारती-सी बढ़ रही है,
साँझ से कह दो बुझे दीपक जलाए।
शोर डैनों में छिपाने के लिए अब,
शोर, माँ की गोद जाने के लिए अब,
शोर घर-घर नींद रानी के लिए अब,
शोर परियों की कहानी के लिए अब,
एक मैं ही हूँ—कि मेरी साँझ चुप है,
एक मेरे दीप में ही बल नहीं है,
एक मेरी खाट का विस्तार नभ-सा
क्योंकि मेरे शीश पर आँचल नहीं है।
chintiyan anDe uthakar ja rahi hain,
aur chintiyan neeD ko chara dabaye,
than par bachhDa ranbhane lag gaya hai
takatki sune wijan path par lagaye,
tham anchal, thaka balak ro utha hai,
hai khaDi man sheesh ka gatthar giraye,
banh do chumkarti si baDh rahi hai,
sanjh se kah do bujhe dipak jalaye
shor Dainon mein chhipane ke liye ab,
shor, man ki god jane ke liye ab,
shor ghar ghar neend rani ke liye ab,
shor pariyon ki kahani ke liye ab,
ek main hi hun—ki meri sanjh chup hai,
ek mere deep mein hi bal nahin hai,
ek meri khat ka wistar nabh sa
kyonki mere sheesh par anchal nahin hai
chintiyan anDe uthakar ja rahi hain,
aur chintiyan neeD ko chara dabaye,
than par bachhDa ranbhane lag gaya hai
takatki sune wijan path par lagaye,
tham anchal, thaka balak ro utha hai,
hai khaDi man sheesh ka gatthar giraye,
banh do chumkarti si baDh rahi hai,
sanjh se kah do bujhe dipak jalaye
shor Dainon mein chhipane ke liye ab,
shor, man ki god jane ke liye ab,
shor ghar ghar neend rani ke liye ab,
shor pariyon ki kahani ke liye ab,
ek main hi hun—ki meri sanjh chup hai,
ek mere deep mein hi bal nahin hai,
ek meri khat ka wistar nabh sa
kyonki mere sheesh par anchal nahin hai
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 27)
रचनाकार : सर्वेश्वरदयाल सक्सेना
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.