गाँव में चाँद
नीम के ऊपर से
पीपल के पत्ते जैसा
पहाड़ों के पार चमकता है
बच्चे गेंद जैसी आँखों से
चाँद का गोल होना देखते हैं
दादी की कहानी में
एक बुढ़िया आज भी सूत कातती है
गाँव की औरतों को चाँद के
हज़ारों गीत याद हैं
जवान लड़के प्रेमिकाओं को
'चंदा' कहते हैं
हालाँकि वे कवि नहीं थे
कवियों के पुराने उपमानों को दोहराते
खुले आसमान के नीचे
चाँद को प्रेम की कहानियाँ सुनाते
अब वे पूरी तरह ख़ाली और बेरोज़गार
नौकरी और काम की तलाश में
शहरों की ओर दौड़े
वहाँ उनको न काम मिला, न नौकरी
वे शहर के जीवन से इतने ऊब चुके थे
न कोई उनको आवाज़ देता
न कोई सुनता
न कोई रुकता
न कोई बात करता
न चंदा थी
न चाँद
वे जीवन और ईश्वर से
इतने तंग आ चुके थे
आत्महत्या के लिए
क़ुतुबमीनार जैसी इमारतों पर चढ़ गए
अचानक दिखता है चंदा
और याद आता है
चाँद के नीचे बैठा सारा गाँव…
वे जीवन के दृश्य को देखकर
फिर-फिर जीने लगते हैं।
ganw mein chand
neem ke upar se
pipal ke patte jaisa
pahaDon ke par chamakta hai
bachche gend jaisi ankhon se
chand ka gol hona dekhte hain
dadi ki kahani mein
ek buDhiya aaj bhi soot katti hai
ganw ki aurton ko chand ke
hazaron geet yaad hain
jawan laDke premikaon ko
chanda kahte hain
halanki we kawi nahin the
kawiyon ke purane upmanon ko dohrate
khule asman ke niche
chand ko prem ki kahaniyan sunate
ab we puri tarah khali aur berozgar
naukari aur kaam ki talash mein
shahron ki or dauDe
wahan unko na kaam mila, na naukari
we shahr ke jiwan se itne ub chuke the
na koi unko awaz deta
na koi sunta
na koi rukta
na koi baat karta
na chanda thi
na chand
we jiwan aur ishwar se
itne tang aa chuke the
atmahatya ke liye
qutubminar jaisi imarton par chaDh gaye
achanak dikhta hai chanda
aur yaad aata hai
chand ke niche baitha sara ganw…
we jiwan ke drishya ko dekhkar
phir phir jine lagte hain
ganw mein chand
neem ke upar se
pipal ke patte jaisa
pahaDon ke par chamakta hai
bachche gend jaisi ankhon se
chand ka gol hona dekhte hain
dadi ki kahani mein
ek buDhiya aaj bhi soot katti hai
ganw ki aurton ko chand ke
hazaron geet yaad hain
jawan laDke premikaon ko
chanda kahte hain
halanki we kawi nahin the
kawiyon ke purane upmanon ko dohrate
khule asman ke niche
chand ko prem ki kahaniyan sunate
ab we puri tarah khali aur berozgar
naukari aur kaam ki talash mein
shahron ki or dauDe
wahan unko na kaam mila, na naukari
we shahr ke jiwan se itne ub chuke the
na koi unko awaz deta
na koi sunta
na koi rukta
na koi baat karta
na chanda thi
na chand
we jiwan aur ishwar se
itne tang aa chuke the
atmahatya ke liye
qutubminar jaisi imarton par chaDh gaye
achanak dikhta hai chanda
aur yaad aata hai
chand ke niche baitha sara ganw…
we jiwan ke drishya ko dekhkar
phir phir jine lagte hain
स्रोत :
रचनाकार : अमर दलपुरा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.