जैसे मोहम्मद अली ने कहा कि वह वियतनाम में युद्ध लड़ने नहीं जाएगा
मैं भी कहता रहा कि मध्यवर्गीय महत्वाकांक्षा का फ़िदायीन नहीं हूँ मैं
मोहम्मद अली को जेल में डाल दिया गया मैं भटकता रहा
भारतीय अर्थ और समाज के खुले जेल में ढहते हुए शहरों के काले पानी में
मोहम्मद अली की तरह बारह साल की उम्र में मैंने लड़ना सीख लिया था
कविता मेरी मुक्केबाज़ी थी
जैसा कि मोहम्मद अली ने एक कवि की तरह कहा कि वह तितली की तरह उड़ता था और मधुमक्खी की तरह डंक मारता था मैं भी घायल रुआँसा और कटखना था मोहम्मद अली की तरह मार खाता कभी-कभी जीतता मेरा चेहरा पेंटरो, पीला और नीला था और आत्मा का रंग क्या बता सकूँ जो शहरों में पता नहीं किस कबाड़ में कहाँ किस अँधेरे में खो जाती थी
सई के तट पर या यमुना और गंगा के मैदानों में मैं विकल था
कि अपनी अद्वितीयता का भार उठाए नहीं उठता था
आटे की बोरी की तरह अपने होने का आह्लाद कंधे तोड़ देता था
तो घिरे हुए मोहम्मद अली-सा मैं कह पड़ता था कि मैं हूँ महानतम
अपनी गरिमा के सन्नाटे में जैसे हर कोई कहता है
कि मैं हूँ महानतम कहना भी चाहिए कि I AM THE GREATEST
मोहम्मद अली के कहने की तरह कि मैं हूँ अमेरिका
मैं भी कहता रहा कि मैं हूँ हिंदुस्तान
अपने निर्वासन और बहिष्कार के विषम में।
jaise mohammad ali ne kaha ki wo wietnam mein yudh laDne nahin jayega
main bhi kahta raha ki madhywargiy mahatwakanksha ka fidayin nahin hoon main
mohammad ali ko jel mein Dal diya gaya main bhatakta raha
bharatiy arth aur samaj ke khule jel mein Dhahte hue shahron ke kale pani mein
mohammad ali ki tarah barah sal ki umr mein mainne laDna seekh liya tha
kawita meri mukkebazi thi
jaisa ki mohammad ali ne ek kawi ki tarah kaha ki wo titli ki tarah uDta tha aur madhumakkhi ki tarah Dank marta tha main bhi ghayal ruansa aur katakhna tha mohammad ali ki tarah mar khata kabhi kabhi jitta mera chehra pentro, pila aur nila tha aur aatma ka rang kya bata sakun jo shahron mein pata nahin kis kabaD mein kahan kis andhere mein kho jati thi
sai ke tat par ya yamuna aur ganga ke maidanon mein main wikal tha
ki apni adwitiyta ka bhaar uthaye nahin uthta tha
ate ki bori ki tarah apne hone ka ahlad kandhe toD deta tha
to ghire hue mohammad ali sa main kah paDta tha ki main hoon mahantam
apni garima ke sannate mein jaise har koi kahta hai
ki main hoon mahantam kahna bhi chahiye ki i am the ghreatest
mohammad ali ke kahne ki tarah ki main hoon amerika
main bhi kahta raha ki main hoon hindustan
apne nirwasan aur bahishkar ke wisham mein

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।