सड़कें धूप में पसीने-सी चमकती हैं :
मैंने श्रम के बारे में सोचा
सड़क के चमकते खंभे
जो बता सकते हैं और कितने मील की दूरी पर
भाषा और पानी अपना रूप बदल लेंगे
अनुमान के कितने समय में बदल जाएगा
इधर का आदमी
उधर के आदमी से
मैंने आदमियत के बारे में सोचा
रास्ते की रोशनी के सब मकान उनके थे
जिन मकानों पर सरकार के इश्तिहार थे
एक पूरा पहाड़
पत्थरों की शक्ल में
पटरियों पर बिखेर दिया गया है
पहाड़ों को रौंदकर गुज़र रहा है
पृथ्वी के गर्भ का सारा गर्म लोहा
मैंने चूल्हे के बारे में सोचा
किसने हरी की है धरती
सब धानी सब गेहूँ किसने उगाया है?
मैंने भूख के बारे में सोचा
मैं मृत्यु के लिए एक नया शब्द सोच रहा था,
जब एक श्रमिक अपने घर को लौट रहा था।
saDken dhoop mein pasine si chamakti hain ha
mainne shram ke bare mein socha
saDak ke chamakte khambhe
jo bata sakte hain aur kitne meel ki duri par
bhasha aur pani apna roop badal lenge
anuman ke kitne samay mein badal jayega
idhar ka adami
udhar ke adami se
mainne adamiyat ke bare mein socha
raste ki roshni ke sab makan unke the
jin makanon par sarkar ke ishtihar the
ek pura pahaD
patthron ki shakl mein
patariyon par bikher diya gaya hai
pahaDon ko raundkar guzar raha hai
prithwi ke garbh ka sara garm loha
mainne chulhe ke bare mein socha
kisne hari ki hai dharti
sab dhani sab gehun kisne ugaya hai?
mainne bhookh ke bare mein socha
main mirtyu ke liye ek naya shabd soch raha tha,
jab ek shramik apne ghar ko laut raha tha
saDken dhoop mein pasine si chamakti hain ha
mainne shram ke bare mein socha
saDak ke chamakte khambhe
jo bata sakte hain aur kitne meel ki duri par
bhasha aur pani apna roop badal lenge
anuman ke kitne samay mein badal jayega
idhar ka adami
udhar ke adami se
mainne adamiyat ke bare mein socha
raste ki roshni ke sab makan unke the
jin makanon par sarkar ke ishtihar the
ek pura pahaD
patthron ki shakl mein
patariyon par bikher diya gaya hai
pahaDon ko raundkar guzar raha hai
prithwi ke garbh ka sara garm loha
mainne chulhe ke bare mein socha
kisne hari ki hai dharti
sab dhani sab gehun kisne ugaya hai?
mainne bhookh ke bare mein socha
main mirtyu ke liye ek naya shabd soch raha tha,
jab ek shramik apne ghar ko laut raha tha
स्रोत :
रचनाकार : शायक आलोक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.