चूहे—
इस ऊँची, विशाल इमारत में अब
चूहे ही चूहे हैं
ऊपर, नीचे
सब कहीं
ज़माने से इसे अंदर ही अंदर खोखला करते हुए
भीरत उखड़ गया है दीवारों पर से पलस्तर
ऊपर : गिरने-गिरने को है इसकी छत
हिल रहा है नींव का पत्थर-पत्थर
चूलों से उखड़ आए हैं दरवाज़े
बड़ी-बड़ी रंगीन खिड़कियों पर
छा गए हैं जाले
इमारत खड़ी है—
यही एक करिश्मा है
हैरान हैं सभी देखकर
चूहे तो चूहे
न जाने किस जाति के नेवले
कहाँ से आकर
फैल गए हैं इस मकान में
पलक झपकते झपट्टा मारते हैं
और आँखों के गोलकों से
निकाल लेते है आँखें
कितने ही लोग
जो इस मकान में रहते थे
कर गए है यहाँ से कूच
जिससे जहाँ बन पड़ा
वह वहीं चला गया
कुछ पहाड़ों की भेंट हुए
कुछ ज़माने को
और कुछ गए मर-खप
बीहड़ों— रेगिस्तानों में
घर से बेघर होकर
कितने लाँघ गए समुद्र
बस एक फ़िक्र रही सबको
जान बचाने को जैसे-तैसे
और इस कोशिश में
भूल गए कौन किधर आ लगा है
बने हैं कुछ थोड़े से लोग
अब भी इस विशाल भवन में
सुबह-शाम अपने भाग्य को रोते हुए
मालूम है उन्हें
आज नहीं तो कल
किसी न किसी दिन
इसकी ढहती दीवारों के तले
दबना ही उनकी नियति है
लेकिन बेबस हैं
मन ही मन मनाते हैं
टिकी रहे इस इमारत की नींव
अभी कुछ वक़्त और
कट जाए हमारे ये थोड़े-से दिन
सामने सुनसान है
मुँह बाये खड़ा
एक श्मशान है!
chuhe—
is unchi, wishal imarat mein ab
chuhe hi chuhe hain
upar, niche
sab kahin
zamane se ise andar hi andar khokhla karte hue
bhirat ukhaD gaya hai diwaron par se palastar
uprah girne girne ko hai iski chhat
hil raha hai neenw ka patthar patthar
chulon se ukhaD aaye hain darwaze
baDi baDi rangin khiDakiyon par
chha gaye hain jale
imarat khaDi hai—
yahi ek karishma hai
hairan hain sabhi dekhkar
chuhe to chuhe
na jane kis jati ke nenle
kahan se aakar
phail gaye hain is makan mein
palak jharakte jhapta marte hain
aur ankhon ke golkon se
nikal lete hai ankhen
kitne hi log
jo is makan mein rahte the
kar gaye hai yahan se kooch
jisse jahan ban paDa
wo wahin chala gaya
kuch pahaDon ki bhent hue
kuch zamane ko
aur kuch gaye mar khap
bihDon— registanon mein
ghar se beghar hokar
kitne langh gaye samudr
bus ek fir rahi sabko
jaan bachane ko jaise taise
aur is koshish mein
bhool gaye kaun kidhar aa laga hai
bane hain kuch thoDe se log
ab bhi is wishal bhawan ko rote hue
malum hai unhen
aj nahin to kal
kisi na kisi din
iski Dahti diwaron ke tale
dabana hi unki niyti hai
lekin bebas hain
man hi man manate hain
tiki rahe is imarat ki neenw
abhi kuch waqt aur
kat jayen hamare ye thoDe se din
samne sunsan hai
munh baye khaDa
ek shmshan hai!
chuhe—
is unchi, wishal imarat mein ab
chuhe hi chuhe hain
upar, niche
sab kahin
zamane se ise andar hi andar khokhla karte hue
bhirat ukhaD gaya hai diwaron par se palastar
uprah girne girne ko hai iski chhat
hil raha hai neenw ka patthar patthar
chulon se ukhaD aaye hain darwaze
baDi baDi rangin khiDakiyon par
chha gaye hain jale
imarat khaDi hai—
yahi ek karishma hai
hairan hain sabhi dekhkar
chuhe to chuhe
na jane kis jati ke nenle
kahan se aakar
phail gaye hain is makan mein
palak jharakte jhapta marte hain
aur ankhon ke golkon se
nikal lete hai ankhen
kitne hi log
jo is makan mein rahte the
kar gaye hai yahan se kooch
jisse jahan ban paDa
wo wahin chala gaya
kuch pahaDon ki bhent hue
kuch zamane ko
aur kuch gaye mar khap
bihDon— registanon mein
ghar se beghar hokar
kitne langh gaye samudr
bus ek fir rahi sabko
jaan bachane ko jaise taise
aur is koshish mein
bhool gaye kaun kidhar aa laga hai
bane hain kuch thoDe se log
ab bhi is wishal bhawan ko rote hue
malum hai unhen
aj nahin to kal
kisi na kisi din
iski Dahti diwaron ke tale
dabana hi unki niyti hai
lekin bebas hain
man hi man manate hain
tiki rahe is imarat ki neenw
abhi kuch waqt aur
kat jayen hamare ye thoDe se din
samne sunsan hai
munh baye khaDa
ek shmshan hai!
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविताएँ 1984 (पृष्ठ 77)
संपादक : बालस्वरूप राही
रचनाकार : मोतीलाल साक़ी
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.