किसी भी शब्द से
शुरू की जा सकती है कविता।
जैसे कि अगर मैं
उदास होता हूँ
और लिखता हूँ—‘मेज़’
तो मेरी उदासी
तीन फ़िट लंबी
और ढाई फ़िट चौड़ी
एक ठोस शक्ल ले लेती है
ज़मीन से तीस इंच ऊपर
ऐसे में मैं
खिड़की को देखकर
लंबी साँस खींचता हुआ
सोच सकता हूँ
कि मेरे हिस्से की सारी हवा
दूसरों के फेफड़ों में भर चुकी है
उठकर जा सकता हूँ बाहर
और सीढ़ियों पर अकेले बैठकर
कह सकता हूँ कि
जिस गर्म रोशनी में हूँ
उसे तब तक ‘धूप’ कहना
ग़लत है, जब तक उसमें
दो लोग एक साथ न बैठे हों
कोई भी बात तब
किसी भी चीज़ में
बदल सकती है
चीज़ों के नाम या
शब्दों के अर्थ आपस में
सारे के सारे बेमतलब होते हुए
क्योंकि कविता में
अगर मैं उदास होता हूँ
तो मेज़ के बारे में भी
वही बात कर सकता हूँ
जो धूप के बारे में
दोनों उतनी ही ठंडी और
बेठोस होंगी वहाँ पर
और वही बात
कर सकता हूँ जब
उदास न होकर
प्यार कर रहा होऊँ
तब वह बात
पूरी उष्मा के साथ
बादलों के बारे में
हो सकती है
हर हाल में कविता
किसी भी शब्द से
शुरू की जा सकेगी
वह एक चुपचाप खड़ी
ख़ाली ‘मेज़’ भी हो सकती है।
kisi bhi shabd se
shuru ki ja sakti hai kawita
jaise ki agar main
udas hota hoon
aur likhta hun—‘mez’
to meri udasi
teen fit lambi
aur Dhai fit chauDi
ek thos shakl le leti hai
zamin se tees inch upar
aise mein main
khiDki ko dekhkar
lambi sans khinchta hua
soch sakta hoon
ki mere hisse ki sari hawa
dusron ke phephDon mein bhar chuki hai
uthkar ja sakta hoon bahar
aur siDhiyon par akele baithkar
kah sakta hoon ki
jis garm roshni mein hoon
use tab tak ‘dhoop’ kahna
ghalat hai, jab tak usmen
do log ek sath na baithe hon
koi bhi baat tab
kisi bhi cheez mein
badal sakti hai
chizon ke nam ya
shabdon ke arth aapas mein
sare ke sare bematlab hote hue
kyonki kawita mein
agar main udas hota hoon
to mez ke bare mein bhi
wahi baat kar sakta hoon
jo dhoop ke bare mein
donon utni hi thanDi aur
bethos hongi wahan par
aur wahi baat
kar sakta hoon jab
udas na hokar
pyar kar raha houn
tab wo baat
puri ushma ke sath
badlon ke bare mein
ho sakti hai
har haal mein kawita
kisi bhi shabd se
shuru ki ja sakegi
wo ek chupchap khaDi
khali ‘mez’ bhi ho sakti hai
kisi bhi shabd se
shuru ki ja sakti hai kawita
jaise ki agar main
udas hota hoon
aur likhta hun—‘mez’
to meri udasi
teen fit lambi
aur Dhai fit chauDi
ek thos shakl le leti hai
zamin se tees inch upar
aise mein main
khiDki ko dekhkar
lambi sans khinchta hua
soch sakta hoon
ki mere hisse ki sari hawa
dusron ke phephDon mein bhar chuki hai
uthkar ja sakta hoon bahar
aur siDhiyon par akele baithkar
kah sakta hoon ki
jis garm roshni mein hoon
use tab tak ‘dhoop’ kahna
ghalat hai, jab tak usmen
do log ek sath na baithe hon
koi bhi baat tab
kisi bhi cheez mein
badal sakti hai
chizon ke nam ya
shabdon ke arth aapas mein
sare ke sare bematlab hote hue
kyonki kawita mein
agar main udas hota hoon
to mez ke bare mein bhi
wahi baat kar sakta hoon
jo dhoop ke bare mein
donon utni hi thanDi aur
bethos hongi wahan par
aur wahi baat
kar sakta hoon jab
udas na hokar
pyar kar raha houn
tab wo baat
puri ushma ke sath
badlon ke bare mein
ho sakti hai
har haal mein kawita
kisi bhi shabd se
shuru ki ja sakegi
wo ek chupchap khaDi
khali ‘mez’ bhi ho sakti hai
स्रोत :
पुस्तक : कुछ शब्द जैसे मेज़ (पृष्ठ 117)
रचनाकार : संजीव मिश्र
प्रकाशन : वाग्देवी प्रकाशन
संस्करण : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.