मेरी कहानी
उस संगमरमरी पत्थर की कहानी है
लोग ख़ूबसूरत कहने के बावजूद
जिसे पत्थर कहते हैं।
उस काली चट्टान की कहानी है
सख़्त होने के बावजूद
कोमल पौधे
जिसके सीने पर अपनी जड़ें जमाए रहते हैं।
जब मैं पैदा हुआ
अपनी कोमल-कोमल गुलाबी हथेलियों में
दो मुट्ठी धूप नार कर बड़ा हो गया
मैंने अपने सीने पर फ़सलें उगाईं
भावनाओं के जल से उन्हें सींचा
और पकती बालियों को देख-देख
भविष्य का नक़्शा खींचा।
लेकिन
जब कभी
फ़सल काटने की कोशिश की
दानों को
अपने से एक युग आगे बढ़ा पाया।
फिर भी मैं
समय से एक-एक टुकड़ा
उधार लेकर बोता रहा
और उस एक युग अंतर को
निरंतर कम करने का प्रयास करता रहा।
लेकिन इस बार,
इस बार दानें तो एक युग आगे हैं ही
ज़मीन भी बहुत आगे सरक गई है
युगों और शताब्दियों आगे
उसके सीने में पड़ी
वे सारी दरारें नार गई हैं
जिन्हें मैं नहीं नार सका था
मैं ज़िंदगी की खाई के इस किनारे खड़ा
उस किनारे पर
उसे मुस्कुराता देख रहा हूँ
दूर...
शायद मेरे अंतर्मन से
ये आवाज़-सी आ रही थी।
ज़मीन तो उसी की होती है
जो फ़सल काट लेते हैं
और इस युग में फ़सल
बोए बिना काट ली जाती है।
अचानक
मैं पीछे हटता गया
युगों और शताब्दियों पीछे
मेरे हाथ छोटे होने लगे
रंग गुलाबी होने लगा
और एक बार फिर से
गुलाबी हथेलियों में
दो मुट्ठी धूप भर कर खड़ा हूँ
एक बार फिर से बड़ा होने की उम्मीद में
ताकि मैं भी
बिना बोए
किसी की फ़सल काट सकूँ
और अभी तक चढ़ा हुआ
समय का क़र्ज़ उतार दूँ।
meri kahani
us sangamaramri patthar ki kahani hai
log khubsurat kahne ke bawjud
jise patthar kahte hain
us kali chattan ki kahani hai
sakht hone ke bawjud
komal paudhe
jiske sine par apni jaDen jamaye rahte hain
jab main paida hua
apni komal komal gulabi hatheliyon mein
do mutthi dhoop nar kar baDa ho gaya
mainne apne sine par faslen ugain
bhawnaon ke jal se unhen sincha
aur pakti baliyon ko dekh dekh
bhawishya ka naqsha khincha
lekin
jab kabhi
fasal katne ki koshish ki
danon ko
apne se ek yug aage baDha paya
phir bhi main
samay se ek ek tukDa
udhaar lekar bota raha
aur us ek yug antar ko
nirantar kam karne ka prayas karta raha
lekin is bar,
is bar danen to ek yug aage hain hi
zamin bhi bahut aage sarak gai hai
yugon aur shatabdiyon aage
uske sine mein paDi
we sari dararen nar gai hain
jinhen main nahin nar saka tha
main zindagi ki khai ke is kinare khaDa
us kinare par
use muskurata dekh raha hoon
door
shayad mere antarman se
ye awaz si aa rahi thi
zamin to usi ki hoti hai
jo fasal kat lete hain
aur is yug mein fasal
boe bina kat li jati hai
achanak
main pichhe hatta gaya
yugon aur shatabdiyon pichhe
mere hath chhote hone lage
rang gulabi hone laga
aur ek bar phir se
gulabi hatheliyon mein
do mutthi dhoop bhar kar khaDa hoon
ek bar phir se baDa hone ki ummid mein
taki main bhi
bina boe
kisi ki fasal kat sakun
aur abhi tak chaDha hua
samay ka qarz utar doon
meri kahani
us sangamaramri patthar ki kahani hai
log khubsurat kahne ke bawjud
jise patthar kahte hain
us kali chattan ki kahani hai
sakht hone ke bawjud
komal paudhe
jiske sine par apni jaDen jamaye rahte hain
jab main paida hua
apni komal komal gulabi hatheliyon mein
do mutthi dhoop nar kar baDa ho gaya
mainne apne sine par faslen ugain
bhawnaon ke jal se unhen sincha
aur pakti baliyon ko dekh dekh
bhawishya ka naqsha khincha
lekin
jab kabhi
fasal katne ki koshish ki
danon ko
apne se ek yug aage baDha paya
phir bhi main
samay se ek ek tukDa
udhaar lekar bota raha
aur us ek yug antar ko
nirantar kam karne ka prayas karta raha
lekin is bar,
is bar danen to ek yug aage hain hi
zamin bhi bahut aage sarak gai hai
yugon aur shatabdiyon aage
uske sine mein paDi
we sari dararen nar gai hain
jinhen main nahin nar saka tha
main zindagi ki khai ke is kinare khaDa
us kinare par
use muskurata dekh raha hoon
door
shayad mere antarman se
ye awaz si aa rahi thi
zamin to usi ki hoti hai
jo fasal kat lete hain
aur is yug mein fasal
boe bina kat li jati hai
achanak
main pichhe hatta gaya
yugon aur shatabdiyon pichhe
mere hath chhote hone lage
rang gulabi hone laga
aur ek bar phir se
gulabi hatheliyon mein
do mutthi dhoop bhar kar khaDa hoon
ek bar phir se baDa hone ki ummid mein
taki main bhi
bina boe
kisi ki fasal kat sakun
aur abhi tak chaDha hua
samay ka qarz utar doon
स्रोत :
पुस्तक : तय तो यही हुआ था (पृष्ठ 78)
रचनाकार : शरद बिलौरे
प्रकाशन : परिमल प्रकाशन
संस्करण : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.