मेरी धरती मेरे भीतर है
और मैं उसके भीतर।
वह बह रही है मेरी धमनियों में
मेरे हर पसीने की बूँद में टपकती है वही
मेरे चूल्हे तक पहुँचकर तपने के लिए तैयार है
और हमारी भूख उसको लपकने के लिए।
मगर अचानक एक दिन मेरी धरती
कहीं ग़ायब हो गई।
मैं उसे ढूँढ़ रहा हूँ
अपने गाँव, अपने शहर में
मैं उसे ढूँढ़ रहा हूँ
और चिल्ला रहा हूँ
हर चौक-चौराहों पर
अख़बारों में, पत्र-पत्रिकाओं में
अब तो संसद भवन में भी मेरी आवाज़ गूँज रही है
लेकिन मेरे भीतर की धरती
पता नहीं कहाँ चली गई।
चिल्लाते-चिल्लाते मेरी चिल्लाहट एक कराह में बदल चुकी है
मेरी नसों में अब नहीं बह रही है मेरी धरती
जिसमें जेठ की फटी दरारों में
मैं समाता जाता था
और आषाढ़ की पड़ती बूँदों के साथ ही
वह गीली होकर पसरने लगती थी
मेरे भीतर।
meri dharti mere bhitar hai
aur main uske bhitar
wo bah rahi hai meri dhamaniyon mein
mere har pasine ki boond mein tapakti hai wahi
mere chulhe tak pahunchakar tapne ke liye taiyar hai
aur hamari bhookh usko lapakne ke liye
magar achanak ek din meri dharti
kahin ghayab ho gai
main use DhoonDh raha hoon
apne ganw, apne shahr mein
main use DhoonDh raha hoon
aur chilla raha hoon
har chauk chaurahon par
akhbaron mein, patr patrikaon mein
ab to sansad bhawan mein bhi meri awaz goonj rahi hai
lekin mere bhitar ki dharti
pata nahin kahan chali gai
chillate chillate meri chillahat ek karah mein badal chuki hai
meri nason mein ab nahin bah rahi hai meri dharti
jismen jeth ki phati dararon mein
main samata jata tha
aur ashaDh ki paDti bundon ke sath hi
wo gili hokar pasarne lagti thi
mere bhitar
meri dharti mere bhitar hai
aur main uske bhitar
wo bah rahi hai meri dhamaniyon mein
mere har pasine ki boond mein tapakti hai wahi
mere chulhe tak pahunchakar tapne ke liye taiyar hai
aur hamari bhookh usko lapakne ke liye
magar achanak ek din meri dharti
kahin ghayab ho gai
main use DhoonDh raha hoon
apne ganw, apne shahr mein
main use DhoonDh raha hoon
aur chilla raha hoon
har chauk chaurahon par
akhbaron mein, patr patrikaon mein
ab to sansad bhawan mein bhi meri awaz goonj rahi hai
lekin mere bhitar ki dharti
pata nahin kahan chali gai
chillate chillate meri chillahat ek karah mein badal chuki hai
meri nason mein ab nahin bah rahi hai meri dharti
jismen jeth ki phati dararon mein
main samata jata tha
aur ashaDh ki paDti bundon ke sath hi
wo gili hokar pasarne lagti thi
mere bhitar
स्रोत :
पुस्तक : उम्मीद अब भी बाक़ी है (पृष्ठ 85)
रचनाकार : रविशंकर उपाध्याय
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.