बलिहारी तेरा वरवेश,
मेरे भारत! मेरे देश!
बाहर मुकुट विभूषित भाल,
भीतर जटा-जूट का जाल।
ऊपर नभ, नीचे पाताल,
और बीच में तू प्रणपाल।
बंधन में भी मुक्ति निवेश,
मेरे भारत! मेरे देश!
कभी मुरज-मय वीणावाद,
कभी स्वरों से साम-निनाद।
कभी गगनचुंबी प्रासाद,
कभी कुटी में ही आह्लाद।
नहीं कहीं भी भय का लेश,
मेरे भारत! मेरे देश!
है तेरी कृति में विक्रांति,
भरी प्रकृति में निश्चल शांति।
फटक नहीं सकती है भ्रांति,
आँखों में है अक्षय क्रांति,
आत्मा में है अज अखिलेश,
मेरे भारत! मेरे देश!
सरस्वती का तुझमें वास,
लक्ष्मी का भी विपुल-विलास।
प्रिया प्रकृति का पूर्ण विकास,
फिर भी है तू आप उदास।
हे गिरीश, हे अंबरकेश!
मेरे भारत! मेरे देश!
मस्तक में रखता है ज्ञान,
भक्ति-पूर्ण मानस में ध्यान।
करके तू प्रभु-कर्म-विधान,
है सत् चित् आनंद निधान।
मेटे तूने तीनों क्लेश,
मेरे भारत! मेरे देश!
इधर विविध लीला विस्तार,
उधर गुणों का भी परिहार।
जिधर देखिए पूर्णाकार,
किधर कहें हम तेरा द्वार?
हृदय कहीं से करे प्रवेश,
मेरे भारत! मेरे देश!
तन से सब भोगों का भोग,
मन से महा अलौकिक योग।
पहले संग्रह का संयोग,
स्वयं त्याग का फिर उद्योग।
अद्भुत है तेरा उद्देश,
मेरे भारत! मेरे देश!
बनकर तू चिर साधन धाम,
हुआ स्वयं ही आत्माराम,
लिया नहीं तब तक विश्राम—
जब तक पूरा किया न काम।
दिए तुझी ने सब उपदेश,
मेरे भारत! मेरे देश!
balihari tera warwesh,
mere bharat! mere desh!
bahar mukut wibhushait bhaal,
bhitar jata joot ka jal
upar nabh, niche patal,
aur beech mein tu pranpal
bandhan mein bhi mukti niwesh,
mere bharat! mere desh!
kabhi muraj mai winawad,
kabhi swron se sam ninad
kabhi gaganchumbi prasad,
kabhi kuti mein hi ahlad
nahin kahin bhi bhay ka lesh,
mere bharat! mere desh!
hai teri kriti mein wikranti,
bhari prakrti mein nishchal shanti
phatak nahin sakti hai bhranti,
ankhon mein hai akshay kranti,
atma mein hai aj akhilesh,
mere bharat! mere desh!
saraswati ka tujhmen was,
lakshmi ka bhi wipul wilas
priya prakrti ka poorn wikas,
phir bhi hai tu aap udas
he girish, he ambarkesh!
mere bharat! mere desh!
mastak mein rakhta hai gyan,
bhakti poorn manas mein dhyan
karke tu prabhu karm widhan,
hai sat chit anand nidhan
mete tune tinon klesh,
mere bharat! mere desh!
idhar wiwidh lila wistar,
udhar gunon ka bhi parihar
jidhar dekhiye purnakar,
kidhar kahen hum tera dwar?
hirdai kahin se kare prawesh,
mere bharat! mere desh!
tan se sab bhogon ka bhog,
man se maha alaukik yog
pahle sangrah ka sanyog,
swayan tyag ka phir udyog
adbhut hai tera uddesh,
mere bharat! mere desh!
bankar tu chir sadhan dham,
hua swayan hi atmaram,
liya nahin tab tak wishram—
jab tak pura kiya na kaam
diye tujhi ne sab updesh,
mere bharat! mere desh!
balihari tera warwesh,
mere bharat! mere desh!
bahar mukut wibhushait bhaal,
bhitar jata joot ka jal
upar nabh, niche patal,
aur beech mein tu pranpal
bandhan mein bhi mukti niwesh,
mere bharat! mere desh!
kabhi muraj mai winawad,
kabhi swron se sam ninad
kabhi gaganchumbi prasad,
kabhi kuti mein hi ahlad
nahin kahin bhi bhay ka lesh,
mere bharat! mere desh!
hai teri kriti mein wikranti,
bhari prakrti mein nishchal shanti
phatak nahin sakti hai bhranti,
ankhon mein hai akshay kranti,
atma mein hai aj akhilesh,
mere bharat! mere desh!
saraswati ka tujhmen was,
lakshmi ka bhi wipul wilas
priya prakrti ka poorn wikas,
phir bhi hai tu aap udas
he girish, he ambarkesh!
mere bharat! mere desh!
mastak mein rakhta hai gyan,
bhakti poorn manas mein dhyan
karke tu prabhu karm widhan,
hai sat chit anand nidhan
mete tune tinon klesh,
mere bharat! mere desh!
idhar wiwidh lila wistar,
udhar gunon ka bhi parihar
jidhar dekhiye purnakar,
kidhar kahen hum tera dwar?
hirdai kahin se kare prawesh,
mere bharat! mere desh!
tan se sab bhogon ka bhog,
man se maha alaukik yog
pahle sangrah ka sanyog,
swayan tyag ka phir udyog
adbhut hai tera uddesh,
mere bharat! mere desh!
bankar tu chir sadhan dham,
hua swayan hi atmaram,
liya nahin tab tak wishram—
jab tak pura kiya na kaam
diye tujhi ne sab updesh,
mere bharat! mere desh!
स्रोत :
पुस्तक : मंगल-घट (पृष्ठ 26)
संपादक : मैथिलीशरण गुप्त
रचनाकार : मैथिलीशरण गुप्त
प्रकाशन : साहित्य-सदन, चिरगाँव (झाँसी)
संस्करण : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.