भीतर ही भीतर
सुलगता है ज्वालामुखी
खेत और कारख़ानों के केंद्र में।
भीतर ही भीतर
सुलगता है ज्वालामुखी
प्रचंड चीत्कार के साथ वह फटेगा
अजेय वेग से
आग और गर्म हवा बढ़ेगी आगे और आगे
मानव मुक्ति के आख़िरी अवरोध तक।
भीतर ही भीतर
सुलगता है ज्वालामुखी
विस्फोट के उपरांत
सुबह के लिए सूर्य की अपेक्षा
अब निरर्थक हो जाएगी
आदमी के पाँव जमेंगे धरती पर
सर आकाश तक पहुँचेगा।
आदमी के अस्तित्व पर
प्रत्येक आक्रमण के बाद
सुलगने की प्रक्रिया और तेज़ होती है
गनगनाहट और मुखर होती है
नज़दीक होती जाती है
सहिष्णुता की सीमा
गुस्से की चरम स्थिति
विस्फोट के क्षण।
भीतर ही भीतर.
सुलगता है ज्वालामुखी
सो अग्निस्नान की तैयारी में
जुटना चाहिए मीत
उष्णता का अनुभव करते हुए
उत्साह के वास्तविक स्वर की प्रतीक्षा में
संभाव्य विस्फोट की प्रतीक्षा में
अग्निस्नान की तैयारी में
जुटना चाहिए मीत।
bhitar hi bhitar
sulagta hai jvalamukhi
khet aur karkhanon ke kendr mein.
bhitar hi bhitar
sulagta hai jvalamukhi
prchanD chitkar ke saath wo phatega
ajey veg se
aag aur garm hava baDhegi aage aur aage
manav mukti ke akhiri avrodh tak.
bhitar hi bhitar
sulagta hai jvalamukhi
visphot ke upraant
subah ke liye surya ki apeksha
ab nirarthak ho jayegi
adami ke paanv jamenge dharti par
sar akash tak pahunchega.
adami ke astitv par
pratyek akramn ke baad
sunne ki prakriya aur tez hoti hai
ganagnahat aur mukhar hoti hai
nazdik hoti jati hai
sahishnauta ki sima
gusse ki charam sthiti
visphot ke kshan.
bhitar hi bhitar.
sulagti hai jvalamukha
so agnisnan ki taiyari men
jutna chahiye meet
ushnata ka anubhav karte hue
utsaah ke vastavik svar ki pratiksha men
sambhavy visphot ki pratiksha mein
agnisnan ki taiyari mein
jutna chahiye meet.
bhitar hi bhitar
sulagta hai jvalamukhi
khet aur karkhanon ke kendr mein.
bhitar hi bhitar
sulagta hai jvalamukhi
prchanD chitkar ke saath wo phatega
ajey veg se
aag aur garm hava baDhegi aage aur aage
manav mukti ke akhiri avrodh tak.
bhitar hi bhitar
sulagta hai jvalamukhi
visphot ke upraant
subah ke liye surya ki apeksha
ab nirarthak ho jayegi
adami ke paanv jamenge dharti par
sar akash tak pahunchega.
adami ke astitv par
pratyek akramn ke baad
sunne ki prakriya aur tez hoti hai
ganagnahat aur mukhar hoti hai
nazdik hoti jati hai
sahishnauta ki sima
gusse ki charam sthiti
visphot ke kshan.
bhitar hi bhitar.
sulagti hai jvalamukha
so agnisnan ki taiyari men
jutna chahiye meet
ushnata ka anubhav karte hue
utsaah ke vastavik svar ki pratiksha men
sambhavy visphot ki pratiksha mein
agnisnan ki taiyari mein
jutna chahiye meet.
स्रोत :
पुस्तक : मैथिली कविताएँ (पृष्ठ 45)
संपादक : ज्ञानरंजन, कमलाप्रसाद
रचनाकार : कुणाल
प्रकाशन : पहल प्रकाशन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.