तमाम चीज़ों के बीच में
एक पदार्थ हूँ ढलता-पिटता
कभी पसरा हुआ ख़ाली जगह-सा
घूमता हूँ अपने ही केंद्र पर
कभी इस ओर कभी उस ओर
ध्रुवों के बीच खिंचा-सा दुनिया में
निशान हूँ गोल आँखों के बीच लंबी नाक का।
सबसे मिलता-जुलता मैं
ख़ुद हूँ उठता-बैठता ऐंठा हुआ
एक रिश्ते से दूसरे तक
रँगा हुआ तरह-तरह के रंगों में
सजा हुआ परायों में, बेहद खुला हुआ
अपनों में, टँगा हुआ अजब-सा अकेले में।
यादगारों और आशाओं में बँटा हुआ
समय के पिंजड़े में अड़ा हुआ पुस्तक
पढ़ रहा हूँ इंतज़ार में
कभी द्वार खुलेगा
कभी मुट्ठी बँधेगी
कभी मरा जिएगा!
tamam chizon ke beech mein
ek padarth hoon Dhalta pitta
kabhi pasra hua khali jagah sa
ghumta hoon apne hi kendr par
kabhi is or kabhi us or
dhruwon ke beech khincha sa duniya mein
nishan hoon gol ankhon ke beech lambi nak ka
sabse milta julta main
khu hoon uthta baithta aintha hua
ek rishte se dusre tak
ranga hua tarah tarah ke rangon mein
saja hua parayon mein, behad khula hua
apnon mein, tanga hua ajab sa akele mein
yadgaron aur ashaon mein banta hua
samay ke pinjDe mein aDa hua pustak
paDh raha hoon intzar mein
kabhi dwar khulega
kabhi mutthi bandhegi
kabhi mara jiyega!
tamam chizon ke beech mein
ek padarth hoon Dhalta pitta
kabhi pasra hua khali jagah sa
ghumta hoon apne hi kendr par
kabhi is or kabhi us or
dhruwon ke beech khincha sa duniya mein
nishan hoon gol ankhon ke beech lambi nak ka
sabse milta julta main
khu hoon uthta baithta aintha hua
ek rishte se dusre tak
ranga hua tarah tarah ke rangon mein
saja hua parayon mein, behad khula hua
apnon mein, tanga hua ajab sa akele mein
yadgaron aur ashaon mein banta hua
samay ke pinjDe mein aDa hua pustak
paDh raha hoon intzar mein
kabhi dwar khulega
kabhi mutthi bandhegi
kabhi mara jiyega!
स्रोत :
पुस्तक : नंगे पैर (पृष्ठ 29)
रचनाकार : विपिन कुमार अग्रवाल
प्रकाशन : लोकभारती प्रकाशन
संस्करण : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.